Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf ·...

23
Nigraani Supervise Deeniyat centre ki hidaayaat ke mutaabiq maktab ka nizaam aur bataaye huwe tareeqa-e-taaleem ke mutaabiq nisaab jaari hai ya nahi? is ki dekh rekh aur is mein muaawanat ko maktab ki nigraani kehte hain. Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, aap un ki nigraani bhi r kiya karte, agar sab kuch thik paate, to un ka hosla badhaate aur un ko mazeed targeeb diya karte the, Hazrat Abu Saeed khudree kehte hain ek martaba sahaaba-e-kiram ek t jagah bethh kar qur'ane kareem padh rahe the aur duaaein kar rahe the, itne mein Rasoolullah tashreef laaye, jab hum ne aap ko dekha to hum log khaamoosh ho gaye, r aap ne farmaaya; kya tum log falaan falaan kaam nahein kar rahe the? hum ne kaha; haan. aap ne farmaaya; jaisa tum kar rahe the, waisa hi karte raho, phir aap hamaare saath beth gaye aur farmaaya; khushkhabri ho gareeb muhaajireen ko, tum jannat mein maaldaaron ke muqaable mein 500 saal pehle jannat mein jaaoge. [Musnade Ahmed : 11915] Aur agar kuch kami paate to us par rok tok bhi kiya karte the. Hazrat Abu Huraira t kehte hain ke rasoolullah hamaare paas aaye, us waqt hum log taqdeer ke baare mein r jhagad rahe the, yeh dekh kar aap gussa ho gaye, hatta ke aap ka chehra surkh ho gaya, aisa lagta tha ke aap ke chehre par anaar nichod diya gaya ho, phir farmaaya; kya tumhein iska hukm diya gaya hai, ya farmaaya; kya mujhe isi ke liye bheja gaya hai? yaqeenan tum se pehli qaumein isi baat mein jhagadne ki wajah se halaak ho gayi, tumhe mein qasam deta hoon ke is muaamle mein kabhi jhagda na karo. [Tirmizi : 2133] Us ke alawa rasoolullah ne mulki paimane par bhi taaleem ki nigraani ka r intizaam farmaaya tha, ulma-e-kiraam ne likha hai ke Huzoor ne sube waar r darsgaahon ka me'yaare taaleem buland karne ke liye suba-e-yemen mein ek sadar naazime taaleeemaat muqarrar kiya tha, jo mukhtalif azlaa aur taaluqa mein daura karke wahaan ki taaleem aur darsgaahon ki nigraani karta tha. [Taareekhe Tabri, bahawaala-e-Ohde nabwi mein nizaame taaleem : 70]

Transcript of Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf ·...

Page 1: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

NigraaniSupervise

Deeniyat centre ki hidaayaat ke mutaabiq maktab ka nizaam aur bataaye huwe

tareeqa-e-taaleem ke mutaabiq nisaab jaari hai ya nahi? is ki dekh rekh aur is mein

muaawanat ko maktab ki nigraani kehte hain.

Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, aap un ki nigraani bhir

kiya karte, agar sab kuch thik paate, to un ka hosla badhaate aur un ko mazeed targeebdiya karte the, Hazrat Abu Saeed khudree kehte hain ek martaba sahaaba-e-kiram ekt

jagah bethh kar qur'ane kareem padh rahe the aur duaaein kar rahe the, itne mein

Rasoolullah tashreef laaye, jab hum ne aap ko dekha to hum log khaamoosh ho gaye,r

aap ne farmaaya; kya tum log falaan falaan kaam nahein kar rahe the? hum ne kaha;haan. aap ne farmaaya; jaisa tum kar rahe the, waisa hi karte raho, phir aap hamaaresaath beth gaye aur farmaaya; khushkhabri ho gareeb muhaajireen ko, tum jannat mein

maaldaaron ke muqaable mein 500 saal pehle jannat mein jaaoge. [Musnade Ahmed : 11915]

Aur agar kuch kami paate to us par rok tok bhi kiya karte the. Hazrat Abu Huraira t

kehte hain ke rasoolullah hamaare paas aaye, us waqt hum log taqdeer ke baare meinr

jhagad rahe the, yeh dekh kar aap gussa ho gaye, hatta ke aap ka chehra surkh ho gaya,aisa lagta tha ke aap ke chehre par anaar nichod diya gaya ho, phir farmaaya; kyatumhein iska hukm diya gaya hai, ya farmaaya; kya mujhe isi ke liye bheja gaya hai?yaqeenan tum se pehli qaumein isi baat mein jhagadne ki wajah se halaak ho gayi,

tumhe mein qasam deta hoon ke is muaamle mein kabhi jhagda na karo. [Tirmizi : 2133]

Us ke alawa rasoolullah ne mulki paimane par bhi taaleem ki nigraani kar

intizaam farmaaya tha, ulma-e-kiraam ne likha hai ke Huzoor ne sube waarr

darsgaahon ka me'yaare taaleem buland karne ke liye suba-e-yemen mein ek sadarnaazime taaleeemaat muqarrar kiya tha, jo mukhtalif azlaa aur taaluqa mein daura karke

wahaan ki taaleem aur darsgaahon ki nigraani karta tha. [Taareekhe Tabri, bahawaala-e-Ohde nabwi mein nizaame taaleem : 70]

Page 2: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

51 Maktab ki nigraani

1

2

3

4

5

6

7

8

9

10

11

Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani kare aur jin makaatib mein sadar

mudarris ya mohtamim ho to un ke zariye nigraani ki tarteeb banaayi jaaye.

Maktab ki nigraani ka maqsad maktab ke taaleemi me’yaar ko buland karna aur

maktab ke deeniyaat nisaab wa nizaam ko sahi tareeqe ke mutaabiq chalaana

hai.

Maqaami zimmedaar maktab ki nigraani aasaani se kar sakte hain, kyun ki woh

maktab ke qareeb rehte hain aur maktab mein rozaana aa sakte hain.

Maqaami zimmedaar maktab ki nigraaani ziyaada firkmand ho kar kar sakte hain

kyun ke padhne waale aksar talaba un ke ilaaqe aur khaandaan ke honge.

Maktab ki nigraani maqaami zimmedaar karta hai to asaatiza ko maktab

me’yaari banaane mein madad milti hai, aur fitri taur par un ko un ki fikr ziyaada

hogi.

Maqaami zimmedaar fikr mand ho aur maktab ki nigraani karta ho to phir

asaatiza bhi fikr ke saath taaleem par tawajjoh dete hain.

Nigraani se maktab ka taaleemi me’yaar buland hota hai.

Nigraani se asaatiza ko taaleemi rehnumayi milti hai, aur is silsile me dar pesh

dushwaariyaan door hoti hain.

Nigraani se maktab ka nizaam baraabar chalta hai.

Nigraani se maktab ka nisaab mutta'yyan waqt par poora hota hai.

Nigraani se Idare ke tamaam afraad; muallim, sadar mudarris, mohtamim aur

trustee Hazraat fikrmand rehte hain.

Nigraani se kamiyon aur Khaamiyon ka pata chalta hai aur inhe aasaani se door

kiya ja sakta hai.

12

Page 3: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Maqaami zimmedaar maktab mein chand baaton ko zaroor dekhe.

Ustaaz ka tareeqa-e-taaleem ijtimai hai ya nahi?

Maheene waar nisaab mukammal huwa he ya nahi?

Kitaab ke akheer mein diye gaye sawaalaat mein se maheene ke eitbaar se

sawaalaat kar ke dekh le ke bachchon ko mazaameen yaad hain ya nahi?

Talaba ka namaaz chart pur hai ya nahi? namaz ki amli mashq karaai ja rahi hai

ya nahi?

Talaba se padhi huwi baaton par amal karne ke baare mein maaloom karein,

agar amal nahein kar rahein hain to targeeb de kar unhein amal par khada karne

ki koshish karein.

Baaligaan course padhne waale talaba ko qaza-e-umri ka chart dilwaaye aur un

ko qaza Namaaz padhne ki targeeb de.

Maktab ka maahaul barqaraar rakhne ki asal zimmedaari to maqaami

zimmedaar ki hai, aur ustaaz is mein zimmedaaron ki muaawanat karein.

Maktab mein safaai ki aur us ke lawazimaat ki nigraani karein aur dekhein ke

bachchon ko baithne ke liye chataai/ qaaleen, tipaayi, blackboard aur tamaam

cheezein hein ya nahien aur agar nahien hain to us ke intizaam ki fikr karein.

Maktab ka Jaaiza lete waqt is ki bhi fikr karein ke har bachcha uniform pehan kar

aa raha hai ya nahien aur agar nahi aa raha hai to us ke uniform ka nazm karein.

Maktab ka jaaiza lete waqt is baat ko khaas taur par dekhein ke kitaabein har

bachche ke paas hain ya nahien .

Maktab ke kutubkhaane ka jaaiza lete rahein aur jin kitaabon aur saamaan ki

zaroorat ho us ko muhayya karne ki fikr karein.

Maktab mein talaba aur muallim ki haazri ke liye haazri register ka intizaam kare

aur us ka jaaiza leta rahe

Talaba ki haazri aur gair haazri ke mutaalliq maqaami zimmedaar muallim se

muzaakra kiya kare.

Maktab chhod kar chale jaane waale talaba ke baare mein asaatiza se

mashwara kare aur talaba ke waalidain se mulaaqaat kare.

13

14

15

16

17

18

19

20

21

22

23

24

25

26

27

Page 4: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Waqt aur haazri ki paabandi karne waale talaba ki hausla afzaai ke liye chocolate

wagaira ka intizaam kare taake un mein maktab aane ka shauq badhe.

Jo bachche uniform pahan kar nahein aa rahe hain, maqaami zimmedaar un ko

uniform ki targeeb de.

Muallim se maktab ke baare mein muzaakra karta rahe aur pesh aane waale

masaail ko muallim aur maqaami nigraan ke zariye hal kare.

Muallim maktab ke maahaul ko barqaraar rakhne ke liye maqaami zimmedaar ka

taawun kare.

Muallim maktab ke maahaul ko achchha banaane ke liye bachchon ki zahen

saazi kare masalan uniform pahen kar aane aur maktab me safaai ka khayaal

rakhne ki bachchon ko targeeb de.

Maqaami zimmedaar maqaami aalim ya maqaami nigraan ke zariye apne

maujoodgi mein maktab ka har maah ya har do maah mein ek martaba qur'an

shareef aur deeniyat kitaab ka jaiza dilaaye taake maktab ka taaleemi me’yaar

maaloom ho aur un ki muaawanat se maktab ko munazzam kiya ja sake.

28

29

30

31

32

33

*Idara-e-Deeniyat mein Order de kar mangwasakte hain.

Page 5: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

52. Munazzam makaatib ki mehnat

Maktab ka zimmedaar apne maktab ko munazzam karte huwe ilaaqe meinmunazzam makaatib qaaim karne ki fikr kare.

1

Maktab

Maktab

Maktab

Page 6: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Deeniyat Munazzam Maktab ke Fawaaid

1. Har bachcha Qur'an Tajweed ke saath padhega, saath saath Hadees, Aqaaid-o-

Masaail, Seerat, Urdu aur Arabi bhi Seekhega. Insha Allah

2. Imaaniyaat aur Ibaadaat ke saath saath Insha Allah Muaamalaat, Akhlaaqiyaat

aur Muaasharat bhi bachche seekheinge.

3. Har insaan farz-e-ain (zaroori ilm-e-deen) seekh kar us par amal karega, is se

Deeni maahol aur roohaani fiza qaaim hogi. insha Allah

4. Ijtimaai taaleem ke zariye bachchon ko bahot zyaada waqt milega aur bachchon

ki taa'daad mein kai guna izaafa ho jaayega. Insha Allah

5. “Munazzam Maktab (Organized Maktab)” Fees ke zariye khud kafeel ho kar

hamesha chalta rahega. Insha Allah

6 Har ilaaqe ke bachche 15 saal tak deen seekheinge aur mardon, auraton ko bhi.

deen seekhne ka mauqa milega.

7 Har maktab mein ziyaada asaatiza ko deeni khidmat ka mauqa milega aur.

masjidein aabaad ho jaayegi. Insha Allah

8 Insha Allah har shakhs ko maaloom hoga ke slaam aman pasandi. I

ka mazhab hai.

9 100% Ummat mein Allah ka hukm aur Rasoolullah ( ) ka tareeqa aayega, jis se. e

woh Insha Allah duniya wa aakhirat mein kaamiyaab hogi.

Page 7: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

53. Qur'ane kareem

Qur’ane kareem ki khidmat ko apni sa'adat samjhte huwe aur tilaawat karne waaleafraad ki aasaani ke liye saaf suthre computerized font mein tahseen wa tazyeen kesaath 13 aur 15 line ka Qur'an shaaye' kiya gaya hai.

Page 8: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

54. Qur'an ka paigaam

Is kitab ke zariye ummat ko Qur'an ke paigaam se mukhtasar waqt (10 min) mein waaqifkaraane ki koshish ki gayi hai jis ki tarteeb mein is baat ka lihaaz rakha gaya hai keQur'ane kareem ke har paare ke ek ek pao ko le kar us ke chand mazaameen par roshnidaali gayi hai aur ek safha par ek hi pao ke mazaameen hai taake Ramazan-ul-Mubarak

ki taraaweeh mein jitna Qur'an padha gaya hai Taraaweeh aur witr ke darmiyaan unmazaameen ko padh kar sunaaya ja sake.

Page 9: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

55. 5 Minute ka Madrasa

Ummate muslima ko Allah Ta’ala ki kitaab aur Rasoolullaah ki sunnat se qareeb karner

aur ummat mein deen ka shu’oor paida karne, us ko seekhne aur us par amal karne kashauq wa ragbat paida karne ki garz se is kitaab mein deen ke mash’hoor 5 shobe;Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se mutaalliq baaton ko

qur’an wa hadees ki roshni mein 10 anaaween ke tahat islaami mahine ki tarteeb par.jama kiya gaya hai. is mein ikhtalafi baton se parhez kiya gaya hai

Page 10: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

56. Khutbaate Juma

Is kitaab me maujooda haalaat ke etibaar se mukhtalif unwaanaat par nihaayat sahal auraasaan andaaz mein arabic khutbaat pesh kiye gaye hai, Jin mein ikhtilaafi baaton separhez kiya gaya hai taake ummat ka har tabqa us se faaida utha sake, Phir mukhtasartashreeh ke saath un ka tarjama urdu zabaan mein kiya gaya hai taake arabic khutba ki

tamaam baatein wazaahat ke saath awaam ke saamne aajaaye.

Page 11: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Electronic Media ke Zariye ilm deen ko ummat

tak pahunchaana

Aaj ke taraqqi yaafta daur mein Eloctrnic media ko bhi taaleem ki isha'at mein ehmiyat ka

darja haasil hai, Us ke zariye bhi Internet ke waaste se jagah jagah smart class qaaim ki

ja sakti hai, digital screen board, computer, laptop, smart phones ko bhi deeni taaleem

hasil karne aur us ki isha'at ka zariya banaaya ja sakta hai, is silsile meim idara koshish

kar raha hai ke shariat ke daaire mein rehte hue is ko istemaal karein.

Aap hamaari web site www.deeniyat.com par hamaari saari kitaabein aur masnooaat

ko dekh sakte hain aur use mangwa kar faaida haasil kar sakte hain.

Page 12: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Ilme Deen ki ahmiyat wa zaroorat se koi saahibe Imaan inkaar nahin kar sakta; kyun ke jo

shakhs Allah aur us ke Rasool par Imaan rakhta hai aur marne ke baad dobaara zinda hone, apne

ek ek amal ka hisaab dene aur achchhe amal par Jannat aur bure amal par Jahannam mein jaane

ke "Khudaai faisle" par yaqeen rakhta hai. Yaani aakhirat ki haqeeqat ko tasleem karta hai, to zaahir

hai ke us ka pehla farz yahi hai ke woh yeh maaloom kare ke zindagi guzaarne ke liye woh kaun se

ahkaam wa hidaayaat hain, jo Allah aur us ke Rasool ki taraf se hamein diye gaye hain, jin par amalkarne ke baad hamein duniya aur aakhirat ki bhalaai aur kaamiyaabi mil sakti hai.

Number 1 Allah Ta'ala ko raazi wa khush karne ki buniyaad hi ilme Deen par hai: Jab

Rasoolullah par pehli wahi utri aur duniya ko ek "naya paigaam" milna shuru huwa, to us pehlir

wahi hi mein padhne aur qalam ka tazkira kiya gaya.

Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: "(Aye Nabi!) Padho apne parwardigaar ka naam le kar jis nesab kuchh paida kiya, us ne insaan ko jame huwe khoon se paida kiya hai, padho aur tumhaara

Parwardigaar sab se ziyaada karam waala hai, jis ne qalam se taaleem di, insaanon ko us baat ki

taaleem di jo woh nahin jaanta tha. [Sura-e-Alaq: 1- 5]

Is pehli wahi mein hi taaleem aur qalam ka tazkira kar ke goya duniya ko is se yeh paigaam

dena tha ke shareeat ke mutaabiq zindagi guzaarne aur Allah ko raazi wa khush karne ki buniyaadhi ilme Deen padhne aur padhaane, seekhne aur sikhaane par hai.

Number 2 Ilme Deen haasil karna har musalmaan mard wa aurat par farz hai: Jo shariat ke

mutaabiq zindagi nahin guzaarega, zaahir hai ke Allah Ta'ala ki raza use haasil nahin ho sakti aur

woh duniya wa aakhirat mein kaamiyaab nahin ho sakta. Isi wajah se Rasoolullah ne bhi saaf taurr

par ilme Deen haasil karne ko ummat par farz qaraar diya hai. Aur is ke liye umr ki koi qaid nahinlagaayi hai. Is liye insaan chaahe umr ke jis marhale mein ho us ke liye buniyaadi ilme Deen ka

seekhna farz hai. Aap ka irshaad hai: Ilme Deen ka haasil karna har musalmaan par farz hai.r

[Ibne Maajah: 224, Anas ]t

Number 3 Sahaaba-e-Kiraam ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the:y

Makkah Mukarramah mein jin logon ne Islam qubool kiya tha woh "Daare Arqam" mein jama hoteaur Huzoor se "Islami ahkaam" seekhte the. Nubuwwat ke doosre saal jab Madeenahr

Munawwarah se 12 shakhs aaye aur Aap se Islam ki bai'at ki, to waapsi ke waqt unhon ne Huzoorr

r se yeh bhi kaha tha ke aye Allah ke Rasool! Hamaare saath kisi ek muallim ko bhej deejiye, jo

hamein Islami ahkaam sikhaaye, Rasoolullah un ke saath Hazrat Mus'ab bin Umair ko bhejar t

tha. Bukhari Sahreef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar farmaate hain: Main aur mera Ansaarit

padosi awaali-e-Madeenah ke ek gaaon Banu Umaiya bin zaid mein rahte the, ham donon baari

baari Rasoolullah ki khidmat mein haazir hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis dinr

main aata us din ki wahi ki aur doosri baaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi

tarah karta. [Bukhaari: 89, Umar ]t

Isi tarah ke aur bhi bahot saare waaqiaat hain, jin se ilme Deen haasil karne ke taalluq se

Hazraat Sahaaba ke be-intiha ehtimaam aur fikr ka pata chalta hai.y

Ilme Deen1

Page 13: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Number 4 Ummat par 2 zimmedaariyaan hain, khud ilme Deen seekhna aur doosron kobhi sikhaana: Is ummat ke liye jahaan yeh zaroori hai ke woh khud Deen seekhe aur Deen kisamajh haasil kare, wahin us ke liye yeh bhi zaroori hai ke doosron ko bhi Deen sikhaaye aur unmein Deeni shuoor paida kare.

Rasoolullah ne farmaaya: Tum log Qur'aan seekho aur logon ko sikhaao, tum log ilm seekhor

aur logon ko sikhaao aur Faraaiz (meeraas ka ilm) seekho aur logon ko sikaao, is liye ke mainduniya se utha liya jaaunga aur ilm bhi anqareeb utha liya jaayega; yahaan tak ke 2 aadmi ek farzhukm ke baare mein jhagdenge, lekin un ko bataane waala koi nahin milega.

[Shobul Imaan: 1668, Abdullah bin Masood ]t

Waaqia: Madeenah Munawwarah mein ek qabeela aabaad tha, jin ko "Ash'ariyyeen" kahajaata tha, yeh log to ilme Deen se waaqif the magar unheen ke pados mein kuchh dehaati log aa karaabaad ho gaye the, jo ilme Deen se naawaaqif the, aur is se badh kar woh ilme Deen seekhne kifikr bhi nahin kar rahe the aur na hi woh padhe likhe qabeele waale un par koi tawajjoh de rahe the,Rasoolullah ko jab un logon ki is kotaahi aur gaflat ka ilm huwa, to Aap ne un ko sakht tambeehr r

farmaayi, aur Deen ki baatein jaanne waale aur na jaanne waale donon qism ke logon ki alag alagzimmedaariyon ko saaf aur waazeh taur par bayaan kiya aur farmaaya: Yaad rakho! Jo log ilmeDeen se waaqif hain aur is ki samajh boojh rakhte hain, un ki yeh zimmedaari hai ke na jaannewaalon ko Deen sikhaayein aur waaz-o-naseehat ke zariye un ki islaah wa tarbiyat ki koshish karterahein. Aur jo log Deen se naawaaqif hain un ki yeh zimmedaari hai ke woh jaanne waalon se Deeniahkaam seekhein aur apne andar Deen ki samajh paida karein, warna ham donon qism ke logon koisi duniya mein saza denge. Chunaanche qabeela-e-Ash'ariyyeen ke logon ne Huzoor se ek saalr

ki mohlat maangi, Aap ne un ko mohlat de di, phir yeh log ek saal tak apne pados ke unr

dehaatiyon ki taaleem wa tarbiyat mein lag gaye. [Kanzul Ummaal: 8457, Abza Khuzaa'ee , Mafhoom]t

Number 5 Jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar nahin ho sakte: IlmeDeen duniya ki sab se qeemti daulat hai ise haasil karna badi khushnaseebi aur sa'aadat ki baathai, is liye ke ilme Deen haasil karne ki Qur'aan wa Hadees mein beshumaar fazeelatein bayaan kigayi hain.

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: (Aye Nabi!) Aap (logon se) keh deejiye kya woh jojaante hain aur jo nahin jaante, sab baraabar hain? (Hargiz sab baraabar nahin hain).

[Sura-e-Zumar: 9]

Number 6 Taalibe ilm ke liye farishte apne paron ko bichha dete hain: Abu DaaoodShareef ki ek Hadees mein Aap ne irshaad farmaaya: Jo banda (Deen ka) ilm haasil karne ke liyer

kisi raaste par chalta hai to Allah Ta'ala is ke badle mein us ko Jannat ke raaston mein se ek raastepar chalaate hain. Aur beshak Allah ke farishte ilme Deen haasil karne waalon ki razaamandi aurkhushnoodi ke liye apne paron ko bichha dete hain, aur bila shubah aalim ke liye aasmaan wazameen ki saari makhlooq magfiraqt ki dua karti hai, yahaan tak ke paani ke andar rahne waalimachhliyaan bhi (un ke liye duaa e magfirat karti hain). Aur beshak ek aalim ko ibaadatguzaarbande par aisi hi fazeelat haasil hai jaisa ke chaudhween raat ke chaand ko baaqi sitaaron par auryaqeenan Ulama Ambiya � ke waaris hain aur Ambiya � ne apne tarke mein dirham wa deenaar(rupiye paise) nahin chhoda hai, balke unhon ne apne tarke mein sirf ilm chhoda hai, is liye jis ne isilm ko haasil kar liya us ne bahot badi kaamiyaabi haasil kar li. [Abu Daaood: 3641, Abu Darda ]t

Page 14: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Ek Hadees mein Aap ka irshaad hai: Jo banda ilm haasil karne ke liye nikla woh waapas aaner

tak Allah ke raaste mein hai. [Tirmizi: 2647, Anas ]t

Number 7 Behtareen insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye: Bukhaari Shareef kiriwaayat hai ke Huzoor ne irshaad farmaaya: Tum mein behtareen woh hai jo Qur'aan seekhe aurr

sikhaaye. [Bukhaari: 5027, Usman ]t

Ek Hadees mein hai ke Aap ne Hazrat Abu Zar se farmaaya ke aye Abu Zar! Tum subah jar t

kar Qur'aane Kareem ki ek aayat seekh lo yeh tumhaare liye 100 rakat padhne se afzal hai aur tumsubah ja kar ilm ka ek mazmoon seekh lo yeh tumhaare liye 1000 rakat padhne se afzal hai.

[Ibne Maajah: 219, Abu Zar ]t

Number 8 Islam ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye: IlmeDeen ek roshni hai, jis se insaan bhalaai aur buraai ki tameez karta hai, haq aur baatil kopehchaanta hai aur is roshni mein insaan seedhe raaste par chalta hai, is liye ilme Deen ko isimaqsad se haasil karna chaahiye, yaani niyyat yeh honi chaahiye ke is ilm ko haasil kar ke ekpaakeeza zindagi guzaarenge, haq ke raaste par chalenge aur baatil se door rahenge, aur is ilm kiroshni mein doosron ko rehnumaai karenge, aur un ke zariye apne Khaaliq ko raazi aur khsuhkarne ki koshish karenge. Rasoolullah ne farmaaya: Jis shakhs ko is haal mein maut aa jaaye ker

woh ilm haasil kar raha ho aur is se us ka maqsad Islam ko zinda karna ho, to Jannat mein us ke aurAmbiya ke darmiyaan sirf ek darje ka farq hoga. [Sunane Daarmi: 362, Hasan ]t

Abu Daaood Shareef ki ek riwaayt hai: Rasoolullah ne farmaaya: Woh ilm jis se Allah Ta'ala kir

razamandi chaahi jaati hai, agar us ko koi duniya ki daulat kamaane ke liye haasil karega to wohqayaamat mein Jannat ki khushbu se bhi mahroom rahega. [Abu Daaood: 3664, Abu Hurairah ]t

Aap ne yeh jo farmaaya ke "Woh ilm jis se Allah ki razaamandi chaahi jaati hai" us se muraadr

Qur'aan wa Hadees ka ilm hai; kyun ke yahi woh ilm hai jis ko haasil kar ke aur jis par amal kar keinsaan Allah ko raazi kar sakta hai.

Number 9 Qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ke liye maktab behtareen zariyahai: Oopar di gayi ahaadees mein qur'aan seekhne aur ilme deen haasil karne ki fazeelat bayaan kigayi, is fazeealt ko haasil karne ke liye maktab behtareen zariya hai, maktab ke zariye bachchon kedeen wa imaan ki hifaazat hoti hai, maktab mein unhein achchhe akhlaaq ki taaleem di jaati hai aurislaami tahzeeb aur saleeqa mandi sikhaayi jaati hai, agar maktab nahein hoga, to bachche qur'aanseekhne aur ilme deen se mahroom reh jaayeinge aur qayaamat ke din ham se us ke baare meinpoochha jaayega, lihaaza hamaari zimmedaari hai ke ham maktab qaaim karein aur us mein apnebachcon ko qur'aan aur ilme deen sikhaayein.

Number 10 Maktab shuru karne ke baad use munazzam tareeqe se chalaayein:Ilaaqe ke fikr mand hazraat ka yeh kaam hai ke woh maktab shuru hone ke baad use munazzamtareeqe se chalaayein, us ki wajah se bachche saheeh tareeqe se taaleem haasil kar sakeinge,tajweed ke saath qur'aan padhna seekheinge aur deen ki bahot saari baatein bhi jaan leinge, agarmunazzam tareeqe se maktab nahein chalaaya gaya, to is se bachchon ko khaatir khwaah faaidanahein hoga, un ka qur'aan bhi saheeh na hoga aur woh deen ki baatein bhi mukammal taur parnahein seekh sakeinge, jis ki wajah se un ke seekhne ki zindagi ka yeh qeemati waqt zaaye hojaayega, is liye fikr mand hazraat maktab ko saheeh dhang se chalaayein aur bachchon ke inqeemati auqaat ka saheeh istemaal karein.

Page 15: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasa

Aaj ke is khutbe se hamein yeh maaloom huwi ke Allah Ta'ala ko raazi aur khushpehli baat

karne ki buniyaad hi ilme deen par hai. yeh mila ke ilme Deen haasil karna harDoosra paigaam

musalmaan mard wa aurat par farz hai. yeh maaloom huwi ke sahaaba-e-kiraamTeesri baat y

ilme Deen haasil karne ka bahot ehtimaam karte the. yeh maaloom huwi ke ummatChauthi baat

par 2 zimmedaariyaan hain: Khud ilme Deen seekhna aur doosron ko bhi sikhaana.

Paanchween baat yeh maaloom huwi ke jo ilme Deen jaante hain aur jo nahin jaante baraabar

nahin ho sakte. taalibe ilm ki fazeelat ke baare mein yeh maaloom huwi ke farishteChhati baat

us ke liye apne paron ko bichha dete hain. yeh maaloom huwi ke behtareenSaatwein baat

insaan woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye. yeh mila ke IslamAathhwaan ahem paigaam

ko zinda karne ke maqsad se ilme Deen haasil karna chaahiye. yeh maaloom huwiNaween baat

ke qur'aan seekhne aur ilme deen ke haasil karne ka behtareen zariya maktab hai. Dasween

baat yeh maaloom huwi ke maktab shuru hone ke baad use munazzam tareeqe se chalaana

zaroori hai, warna bachchon ko khaatir khwaah faaida nahein hoga. Bahar haal ilme deen se

mutaalliq ek momin ki kayi zimmedaariyaan hain. (1) Ilme deen seekhna (2) Saheeh niyyat se

(Allah ki raza ke liye) seekhna (3) Khud amal karna (4) Doosron ko sikhaana (5) Saheeh niyyat se

(Allah ki raza ke liye) sikhaana.

Bade khushnaseeb aur bade maqaam wa martaba waale hain woh log jo ilme Deen ke in

tamaam taqaazon ko poora karte hain aur is ke huqooq wa aadaab ki poori riaayat karte hain.

Lihaaza hamein chaahiye ke ham apne mohallon aur apni masjidon mein bachchon ke saath

saath baaligaan ke liye bhi Munazzam Makaatib qaaim karein aur buniyaadi ilme Deen haasil

karein.

Lihaaza aaj ke is khutbe mein ilm ki ahmiyat aur fazeelat ke mut'alliq jo baatein Qur'aan wa

Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne rakhein aur hamesha in ke

mutaabiq amal karne ki koshish karein.

Allah Ta'ala se dua karte rahein ke woh hamein zaroori buniyaadi ilm haasil karne ki taufeeq

ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen)

Page 16: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Deeni taaleem hamaari buniyaadi zaroorat hai, is ko haasil kiye bagair ham Islami tareeqe kemutaabiq zindagi nahin guzaar sakte; kyun ke hamaari rohaani zindagi nek amal par qaaim hai aurbagair ilme Deen ke nek amal naamumkin hai, ilme Deen ki isi ahmiyat ki wajah se jab Aap parr

pehli wahi naazil huwi, to us mein padhne padhaane aur qalam ka tazkira kiya gaya, jo husoole ilmka ek ahem zariya hai. Balke Aap ki besat ka ek azeem maqsad aur Aap ki zimmedaariyon meinr

se ek ahem tareen zimmedaari kitaab wa hikmat ki taaleem qaraar di gayi. Qur'aane Kareem meinAllah Ta'ala ka irshaad hai: Wahi (Allah) hai jis ne anpadh logon mein unhi mein se ek Rasool bheja,jo un ke saamne is (Qur'aane Kareem) ki aayaton ki tilaawat karein aur unhein kitaab wa hikmat kitaaleem dein. [Sura-e-Juma : 2]

Number 1 Masjid mein ja kar ilme Deen haasil karne se mukammal haj ka sawaab:Shuru Islam mein taaleem aam taur par masjid mein huwa karti thi, log masjid mein jama hote aurpadhaane waale un ko Qur'aane Kareem, Masaail wa Ahkaam wagaira ki taaleem diya karte the,Aap logon ko taaleem ki garaz se masjid aane ki targeeb bhi dete aur is ki fazeelat bhi bataater

the. Ek Hadees mein Aap ne irshaad farmaaya: Jo aadmi masjid aaye aur us ka iraada sirf kisi bhir

bhali baat ko seekhna ya sikhaana ho, to us ko aise haaji ka sawaab milega, jis ka haj kaamil wamukammal ho. [Tabraani Kabeer: 7473, Abu Umaama ]t

Number 2 Qur'aane Kareem padhne padhaane waalon par Allah ki rahmat barasti hai:Sahi Muslim ki riwaayat hai: Aap farmaate hain: Jo log bhi Allah ke gharon mein se kisi ghar meinr

jama ho kar Qur'aan ki tilaawat karte hain aur us ka daur karte hain, to un par sakeena naazil hotihai, Allah ki rahmat un ko dhaanp leti hai aur farishte un ko gher lete hain aur Allah Ta'ala farishton kimajlis mein un ka tazkira farmaate hain. [Muslim: 7028, Abu Hurairah ]t

Shaariheene Hadees ne likha hai ke "Allah ke gharon mein se kisi ghar" se muraad har wohjagah hai jis ko Allah ki raza haasil karne aur sawaab ki niyyat se banaaya jaaye, jaise masjid,madrasa wagaira. [Mirqaatul Mafaateeh: 2/104]

Number 3 Ilme Deen ke silsile mein Sahaaba-e-Kiraam ka be-intiha shauq:y Huzoorr ne Deeni taaleem haasil karne ki aisi fiza aur aisa maahol banaaya tha ke har shakhs is kohaasil karne ki dhun mein laga rehta, kisi ko yeh gawaara na tha ke woh Aap ki majlis se gairr

haazir rahe, taake ilm ka koi hissa reh na jaaye, agar koi rozaana haazir nahin reh paata, to 2aadmi mil kar baari muqarrar kar lete. Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke Hazrat Umar tfarmaate hain ke: Main aur mera Ansaar padosi donon Madeenah ke qareeb hi ek gaaon BanuUmaiya bin Zaid mein rehte the, ham donon baari baari Rasoolullah ki khidmat mein haazirr

hote the. Ek din woh aata aur ek din main aata. Jis din main aata, to us din ki wahi ki aur doosribaaton ki us ko ittila deta tha, aur jab woh aata, to woh bhi isi tarah karta.

[Bukhari: 89, Abdullah bin Abbaas ]�

Number 4 Masjide Nabawi mein seekhne sikhaane ka nazm: Masjide Nabawi sirfibaadat ki jagah hi nahin thi; balke taaleem wa ta'allum yaani seekhne sikhaane ki ek darsgaahbhi thi, jis mein log jama hote aur Deen ki baatein ek doosre se seekha karte, Hazrat Abdullahbin Amr � farmaate hain ke masjide Nabawi mein 2 majlisein lagi huwi theen, Aap ka guzar unr

donon majlison ke paas se huwa to Aap ne irshaad farmaaya ke donon majlisein achchhi hain,albatta un mein se ek ka darja doosre se badha huwa hai.

2 Deeni Taaleem aur Makaatib

Page 17: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Phir Aap ne (ek majlis ki taraf ishaara karte huwe) farmaaya: Yeh log duaaon mein lage huwe

hain, aur Allah ki taraf mutawajjah hain, Allah chaahenge, to ata krenge aur chaahenge, to nahin

denge, aur (doosri majlis ki taraf ishaara karte huwe) irshaad farmaaya: Yeh log Deen ki samajh

haasil karne aur ilme Deen seekhne mein lage huwe hain aur na jaanne waalon ko sikhaane

mein mashgool hain, lihaaza in ka darja badha huwa hai, aur main to muallim hi bana kar bhejha

gaya hoon, phir Aap un hi (seekhne sikhaane waalon) mein baith gaye. [Sunane Daarmi: 357]

Number 5 Suffa ilme Deen haasil karne waalon ki darsgaah thi: Suffa Masjide Nabawi

mein ek chabootra tha, jahaan kuchh Sahaaba-e-Kiraam duniyawi jhamelon se alag ho kar hary

waqt ilme Deen haasil karne mein lage rahte, un mein har umar ke log huwa karte the, unhin mein

Hazrat Abu Hurairah bhi the, jin ka poori ummat par bada ehsaan hai, sab se ziyaada Hadeeseint

unhin se manqool hain, woh khud farmaate hain ke main ek miskeen shakhs tha, Rasoolullah kir

khidmat karta tha, Aap hi ke ghar se kuchh khaane ko mil jaata tha, hijrat karne waale sahaaba

tijaarat mein mashgool rehte aur Ansaar Sahaaba apne baagaat mein (isi wajah se mujhe Aap kir

hadeesein sunne aur yaad karne ka ziyaada mauqa mila) . [Muslim: 6552]

In Ashaab-e-Suffa mein kuchh to woh log the, jin ka qayaam wahin rehta aur kuchh woh log the

jo baahar se ilm haasil karne aaya karte the, kabhi kabhi sab ki majmooi taadaad 400 tak ho jaayakarti thi. [Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 53,54, Mulakhkhasan]

Number 6 Islami daur mein Makaatib ka Nizaam: Madeenah Munawwarah mein Huzoor kir

aamad se pehle hi 3 darsgaahein qaaim theen, pehli darsgaah beech shahar mein Masjide Bani

Zuraiq mein thi, jis mein Hazrat Raafe' bin Maalik taaleem diya karte the, doosri darsgaah Masjidet

Quba mein thi, jis mein Hazrat Saalim imaamat ke saath logon ko ilme Deen sikhaaya karte the aurt

teesri darsgaah Asa’d bin Zuraara ke makaan mein thi, jis mein Hazrat Mus’ab bin Umair taaleemt

diya karte the, jab Aap Madeenah Munawwarah tashreef laaye aur Masjide Nabawi ki taameerr

farmaayi, to yeh Deeni taaleem ka ek markaz ban gayi, aur aage chal kar yeh silsila badhta hi chala

gaya, Ulama-e-Kiraam ne likha hai ke Madeenah Munawwarah ke 9 masaajid ke aas paas bachchon

ke liye taaleemi darsgaahein theen, jin mein Qur'aane Kareem ki taaleem ke saath likhne ki mashq bhikaraai jaati thi. [Ahde Nabawi mein Nizaame Taaleem: 79]

Allaama Ibne Hazm ne likha hai ke Rasoolullah is duniya se chale gaye, aur pooreu r

Jazeeratul Arab mein Islam phail gaya, is Jazeere mein beshumaar gaaon aur shahar (city) the,

wahaan ke tamaam logon ne Islam qabool kiya aur masjidein banaayeen, is Jazeere ke har shahar,

har gaaon aur har dehaat mein Qur'aane Kareem ko namaazon mein padha jaata, aur mard wa

aurtein aur bachche Qur'aan padhna seekhte the, phir Hazrat Abu Bakr ka intiqaal huwa aurt

Hazrat Umar musalmaanon ke doosre khaleefa bane, aap ke zamaane mein Faaras, Shaam,t

Jazeera aur Misr ke ilaaqe fatah huwe, un tamaam ilaaqon ke shahar mein masjidein banaai

gayeen, Qur'aane Kareem ko likha gaya, imaamon ne us ko padha aur bachche har jagah

Makaatib mein us ko padhna seekhte the. [Al-Inaayah bil Qur'aanil Kareem wa Uloomihi: 1/4]

Page 18: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Number 7 Bachchon ki taaleem wa tarbiyat: Aap ne bachchon ki taaleem wa tarbiyat parr

bharpoor tawajjoh farmaayi, chunaanche jab Badr ke qaidi Madeenah Munawwarah laaye gaye,jism mein se baaz ke paas fidya mein dene ke liye kuchh na tha, to Aap ne un se kaha ke jo tum meinlikhna jaanta ho, woh fidya ke taur par Ansaar ke 10 bachchon ko likhna sikha de, is ke baad use chhoddiya jaayega. [Tabaqaat Ibne Saad: 2/22]

Sahaaba-e-Kiraam apne bachchon ki taaleem wa tarbiya ki khaatir bahot fikrmand rahte aury

is ke liye un ko naseehat karte rehte, ek martaba Hazrat Urwa bin Zubair ne apne bachchon kot

naseehat farmaayi ke tum ilm haasil karo, agar aaj qaum mein sab se chhote ho, to kal doosrelogon mein ilm ki barkat se bade ban jaaoge. [Uyoonul Akhyaar: 3/302]

Khud Aap mauqa ba-mauqa bachchon ko Deen ki baatein sikhaate rehte, Bukhari Shareef kir

riwaayat hai ke ek martaba bachpan mein Hazrat Umar bin Abi Salma Huzoor ke saath khaanat r

kha rahe the, un ke khaane ka tareeqa sunnat ke khilaaf tha, Aap ne un ko naseehat karte huwer

farmaaya: Aye ladke! Allah ka naam le kar khaao, apne daahine haath se khaao aur apne saamnese khaao. [Bukhari: 5376, Abu Hurairah ]t

Number 8 Aap ko aurton ki taaleem ka bahot khayaal tha:r Aap aurton ki taaleem kar

khusoosi ehtimaam farmaate the, ek martaba eid ke mauqa par Aap ne logon ko waaz war

naseehat farmaayi, isi mauqe par kuchh aurtein bhi theen, jo mardon se peechhe theen, "Aap kor

mehsoos huwa ke meri aawaaz aurton tak nahin pahonch rahi hai, to Aap Hazrat Bilaal ker t

saath nikle aur un aurton ke qareeb gaye aur un ko waaz wa naseehat farmaayi aur sadqa karne kitargeeb di". [Bukhari: 98, Ibne Abbaas �]

Number 9 Aurton ki taaleem ke liye Aap ne ek din mutaiyan farma diya tha:r Huzoorrke zamaane mein khud aurton ke andar bhi Deen ki baatein seekhne ka bahot shauq aur jazba tha;chunaanche Bukhari Shareef ki riwaayat hai ke ek martaba ek khaatoon Huzoor ki khidmat meinr

haazir huween aur kahne lageen: Ya Rasoolallah! Mard hazraat Deen ki baatein seekhne meinaage badh gaye, (kyun ke woh to har waqt Aap ki khidmat mein haazir rehte hain aur Deen kibaatein seekhte hain; lekin ham aurton ko to aisa mauqa nahin milta) is liye hamaare liye bhi koi ekdin muqarrar farma dijiye jis mein ham log Aap ke paas aayein aur Aap hamein woh baateinsikhaayein, jo Allah ne Aap ko bataai hain, Aap ne farmaaya: Tum log falaan falaan din falaanr

falaan jagah mein aa jaaya karo; chunaanche arutein ek jagah jama ho jaati theen, aur Aap un kepaas ja kar un ko woh baatein bataate, jo Allah ne Aap ko bataayi thein. (Deen ki baatein bataatethe). [Bukhari: 7310, Abu Saeed ]t

Islam sirf aazaad aur shareef gharaanon ki aurton ki taaleem-o-tarbiyat hi par zor nahin deta;balke woh ghar mein kaam karne waali khaadimaaon aur baandiyon ki taaleem-o-tarbiyat aur un kihaisiyat buland karne ko ahmiyat deta hai. Ek Hadees mein Allah ke Rasool ne irshaad farmaaya: 3r

Aadmi ke liye dohra ajr-o-sawaab hai, ek woh aadmi jo pehle se kisi aasmaani kitaab par Imaan rakhtaho aur woh phir Hazrat Muhammad par bhi Imaan laaye, doosra woh gulaam jo Allah ka haq bhi adar

kare aur apne maalik ka bhi haq ada kare aur teesra woh aadmi jis ke paas baandi ho aur woh us kitarbiyat kare aur achchhi tarbiyat kare aur us ko taaleem de aur achchhi taaleem de, phir us ko aazaadkar ke us ke saath nikaah kar le, to us ke liye dohra ajr hai. [Bukhari: 97, Abu Barda ]t

Number10 Islam ghar ki khaadima ki taaleem-o-tarbiyat ki bhi targeeb deta hai: Oopar digayi hadeeson se maaloom huwa ke taaleem wa tarbiyat ki islaam mein bahot ehmiyat hai, lihaazailaaqe ke fikr mand hazraat ko chaahiye ke munazzam makaatib qaaim karne ke liye 4 cheezon ka

Page 19: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

hona zaroori hai : 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani yaani bachchon aur

badon ke liye munazzam makaatib qaaim karein, maktab aisa ho ke us mein qur'aan tajweed ke

saath sikhaaya jaata ho, behtareen taaleem di jaati ho aur umda tarbiyat ki jaati ho, maktab ka

maahaul bhi saaf suthra ho, is ke liye munaasib intizaamaat kiye gaye hoon, bachchon ki taaleemi

wa akhlaaqi taraqqi ke liye intizaamiya, asaatiza aur waalidain ke darmiyaan raabta ho aur saal

bhar taalibe ilm ki deeni wa akhlaaqi taraqqi ke liye koshishein ki jaati hoon aur maktab mein jahaannau umar bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka nazm ho, wahein mardon ke liye un ki sahoolat ke

auqaat mein aur khawaateen ke liye shareeat ke daaire mein reh kar taaleem ka nazm ho, maktab

ke munazzam hone par bachche, mard aur aurtein sabhi is mein aakar taaleem haasil kareinge.

Haqeeqat yeh hai ke ilme Deen ham musalmaano ke liye qeemti sarmaaya hai, jis se duniya

wa aakhirat ki kaamiyaabi milti hai; is liye woh jab mile, jahaan se mile aur jis qadar mile us ko haasilkar lena chaahiye.

Qur’aan wa Hadees ki roshni mein diye gaye khutbe ka khulaasaAaj ke khutbe mein sab se yeh bataayi gayi ke masjid mein ja kar ilme Deen haasilpehli baat

karne se ek kaamil haj ka sawaab milta hai. yeh bataayi gayi ke jo log ek jagah jamaDoosri baatho kar Qur'aan padhte hain, to un par Allah ki rahmat utarti hai aur farishte un ko gher lete hain.Teesra paigaam yeh mila ke Sahaaba-e-Kiraam mein jo Sahaabi rozaana Aap ki majlisy r

mein haazir nahin ho sakte the, to woh kisi ke saath baari muqarrar kar lete the, taake koi baat

choot na jaaye. yeh maaloom huwi ke Masjide Nabawi mein jahaan ibaadat aurChauthi baatduaaein huwa karti theen, wahin us mein seekhne aur sikhaane ka nazm bhi tha. Paanchweenbaat yeh bataayi gayi ke Masjide Nabawi mein Suffa naam ka ek chabootra tha, jis mein kuchhSahaaba duniyawi jhamelon se alag ho kar har waqt ilme Deen seekhne mein mashgool rehtey

the. yeh mila ke Madeenah mein Aap ki aamad se pehle ilmi darsgaaheinChhata paigaam r

qaaim theen, baad mein yeh mazeed phailti chali gayeen. yeh bataayi gayi keSaatween baatAap aur Sahaaba-e-Kiraam bachchon ki taaleem wa tarbiyat ka bahot khayaal rakhte the.r y

Aathhween baat yeh bataayi gayi ke Aap ko aurton ki taaleem wa tarbiyat ki bhi badi fikr rehtir

thi. yeh bataayi gayi ke Aap ne aurton ki taaleem ki ahmiyat ke peshe nazar unNaween baat r

ko sikhaane ke liye ek din muqarrar kar diya tha aur Aap ne aazaad aur shareef aurton ker

alaawa ghar ki khaadimaaon ki taaleem wa tarbiyat ki bhi targeeb di hai aur us ki fazeelat bayaan

farmaayi. yeh diya gaya ke islaam mein taaleem wa tarbiyat kiDaswaan ahem paigaamehmiyat ke peshe nazar ilaaqe ke fikr mand hazraat ko munazzam makaatib qaaim karnechaahiye, jin mein bachchon, mardon aur aurton ki taaleem ka nazm ho.

Lihaaza aaj ke is khutbe mein Deeni taaleem ki zaroorat aur makaatib ke qayaam ke silsile

mein jo baatein Qur'aan wa Hadees ki roshni mein bayaan ki gayi hain, ham in ko apne saamne

rakhein aur in par amal karne ki koshish karein. Allah hamein in baaton par amal karne ki taufeeq

ata farmaaye aur hamaari khidmaat ko qubool farmaaye. (Aameen)

Page 20: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Guzishta 2 juma mein aap hazraat ke saamne ilme deen ki ehmiyat wa zaroorat aur munazzam

maktab ke fawaaid par roshni daali gayi thi aur bataaya gaya tha ke munazzam makaatib qaaim

karne ke liye 4 cheezon ka hona zaroori hai. 1) Nizaam 2) Nisaab 3) Tareeqa e Taaleem 4) Nigraani

aaj aap hazraat ke saamne maktab mein padhaaye jaane waale nisaab ke baare mein tafseel se

bataaya jaayega, nisaab har taaleemi mein reedh ki haisiyat rakhta hai, us ke bagair koi bhi

taaleemi idara qaaim nahein reh sakta, nisaab ki isi ehmiyat ke peshe nazar idara e deeniyat ne 15

saal par mushtamil ek nisaab tayyaar kiya hai.

1) Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat : Deeniyat nisaab zarooriyaate deen par mushtamil hai,

is mein haalaat wa taqaazon ko peshe nazar rakh kar mawaad ka intikhaab kiya gaya hai, is nisaab

ko ulama-e-kiraam ki ek jamaat ne mukhtalif nisaabon aur akaabir ki muta'addad kitaabon ke

mutaale aur un se mawaad lene ke baad buzurgaane deen aur asaatiza-e-kiraam ke mashware se

tayyaar kiya gaya hai. Nisaab mein saheeh aur mustanad baaton ko musbat andaaz mein pesh

kiya gaya hai. Nisaab ke tamaam mawaad ko qur'aan wa hadees aur mo'tabar kitaabon ke

hawaalon ke saath pesh kiya gaya hai. Bachchon ki umr ka lihaaz karte hwe mawaad ko bahot

aasaan aur dilchasp andaaz mein pesh karne ka ehtimaam kiya gaya hai. Deeniyat nisaab mein

taaleem ke saath saath tarbiyat ka bhi khaas khayaal rakha gaya hai; taake talaba bachpan hi se

Aap ki sunnaton ke aadi ho jaayein. Deeni taaleem haasil karne mein zabaan rukaawat na ho aurr

ziyaada se ziyaada log nisaab se faaida utha sakein; is maqsad se nisaab ka mukhtalif zabaanon

jaise : English, Hindi, Gujrati, Malayalam, Tamil, Telugu, Bangla, Manipuri, Aasaami, Swahili,

Arabic, aur brail wagaira mein tarjama kiya gaya hai.

2) Deeniyat nisaab ka ta'aruf :Bachchon ke is 15 saala nisaab ko 3 hisson mein taqseem

kiya gaya hai : 5 saala ibtidaayi (primar) 5 saala saanwi (secondary) aur 5 saala izaafi (advance). In

tamaam saalon mein taalibe ilm 5 buniyaadi anaaween; 1) Qur'aan 2) Hadees 3) Aqaaid wa

Masaail 4) Islaami tarbiyat 5) Zabaan. Ke tahat mukhtalif mazaameen padhega.

Ibtidaayi nisaab mein 5 buniyaadi anaaween ke tahat 14 zaili mazaameen hain.

Qur'aan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Nooraani qaaida aur naazra-e-qur'aan 2) Hifze

soorah.

Qur'aane kareem ko sihate huroof aur tajweed se padhna zaroori hai, warna basa auqaat

namaaz faasid ho jaati hai, chunaanche qur'aane kareem ko saheeh adaaigi ke saath padhna

sikhaane ke liye noraani qaaida diya gaya hai, jo ek saal aur aath maah (1.8 month) mein

mukammal hoga aur naazira-e-qur'aan teen saal aur do maah (3.2 saal) mein mukammal hoga.

Namaaz mein qur'aane kareem padhna farz hai, is liye hifze soorah ka mazmoon diya gaya

hai, in 5 saalon mien taalibe ilm sura e faatiha, sura e zuha se sura e naas tak 21 sooratein aur

aayatul kursi zabaani yaad kar lega.

Hadees ke tahat 2 zaili mazmoon hain : (1) Dua wa sunnat (2) Hifze hadees.

3 Deeniyat nisaab ki khusoosiyaat

Page 21: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Huzoor ke tareeqon aur sunnaton ke mutaabiq zindagi guzaarne mein har insaan kir

kaamiyaabi hai, isi liye roz marra pesh aane waale aamaal ki duaaein aur sunnatein di gayi hain, in

5 saalon mein taalibe ilm dua wa sunnat ke tahat 38 aamaal ki duaaein aur 13 aamaal ki sunnatein

seekh lega.

40 Hadeesein yaad karne par Huzoor ne Jannat ki bashaarat di hai, is fazeelat ko haasilr

karne ke liye hifze hadees ke tahat chhooti aur aasaan 40 ahaadees di gayi hain.Aqaaid wa Masaail ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Aqaaid 2) Namaaz 3) Asma e husna 4)

Masaail.

Aqeeda deene islaam ki buniyaad hai aur aamaal usi waqt maqbool honge, jab ke aqaaid

durust hoon, isi liye aqaaid ke tahat islaam ke 5 kalime aur imaane mufassal mein aayi huwi baatein

sawaal wa jawaab ke andaaz mein di gayi hain.Namaaz ka islaam mein bahot bada darja hai, is ke bagair deen naamukammal hai, lihaaza

ibtida hi se wuzu aur namaaz sikhaane ke saath saath un ki amali mashq bhi karaayi gayi hai,

namaaz ke tahat mukammal namaaz aur us ki duaaein aur mazeed 6 namaazon jaise : witr ki

namaaz, beemaar ki namaaz, namaaze juma, musaafir ki namaaz wagaira ke padhne padhaane

ka tareeqa diya gaya hai.Allah Ta'ala ke sifaati naamon mein zabardast taaqat wa taasir hai aur un ko yaad karne par

hadees mein jannat ki bashaarat bhi di gayi hai, is liye in 5 saalon mein bachchon ko Allah Ta'ala ke

99 sifaati naam yaad karwaaye jaayeinge.

Zindagi ko shareeat ke mutaabiq guzaarne ke liye masaail ka jaanna bahot zaroori hai, masaail

ke zariye hi amal ka saheeh aur galat hona maaloom hota hai, is liye in 5 saalon mein bachchamasaail ke tahat namaaz aur tahaarat ke zaroori masaail aur namaaz ke faraaiz wa waajibaat

seekh lega aur usi ke saath saath zakaat, roza aur haj ke mukhtasar taaruf se bhi waaqif ho

jaayega.

Islaami tarbiyat ke tahat 4 zaili mazaameen hain : 1) Islaami maaloomaat 2) Bayaan wa dua 3)

Seerat 4) Aasaan deen.Islaami maaloomaat ke tahat bachchon ki maaloomaat mein izaafe ke liye in 5 saalon mein

islaam, islaami shakhsiyaat aur islaami maqaamaat se mutaalliq 110 sawaalaat wa jawaabaat diye

gaye hain.

Bachche bachpan hi se deen ki baatein logon tak pahonchaayein aur un ke saamne bila jhijhak

bayaan kar sakein, is garz se in 5 saalon mein mukhtasar aur aasaan 5 bayaanaat diye gaye hainaur bachchon ke andar Allah Ta'ala se maangne ki aadat daalne ke liye har bayaan ke baad ek

qur'aani dua bhi di gayi hai.

Seerat padhne se bachchon ke andar Rasoolullah se muhabbat aur aap ke paakeezar

tareeqe ke mutaabiq zindagi guzaarne ka shauq wa jazba paida hoga, isi garz se in 5 saalon mien

Huzoor aur khulfa e raashideen ki seerat bachchon ke andaaz mein di gayi hai.

Page 22: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek

Aasaan deen ke tahat hifze hadees mein di huwi ahaadees ko saamne rakh kar deen ke

mash'hoor 5 sho'be : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat par

bachchon ki deeni wa akhlaaqi tarbiyat ke liye aasaan andaaz mein 40 asbaaq diye gaye hain.

Zabaan ke tahat 2 zaili mazmoon hain : 1) Arabi 2) Urdu

Qur'aan wa hadees ki zabaan arabi hai, Huzoor aur jannat ki zabaan arabi hai, is liyer

bachchon ke andar arabi zabaan se dilchaspi paida karne ke liye in 5 saalon mein arabi ke tahat

ginti, roz marra istemaal hone waali cheezon ke naam, islaami maheenon, dinon aur jism ke a'aza

ke naam diye gaye hain.

Hamaare akaabir ki aksar kitaabein urdu zabaan mein hain, un se bharpoor faaida uthaane ke

liye urdu zabaan ka seekhna zaroori hai, isi garz se urdu zabaan di gayi hai, in 5 saalon mien

bachhca alif , ba, ta se lekar urdu likhna padhna seekh jaayega.

Yeh to tha 5 saala ibtidaai nisaab ka taaruf, chun ke bachchon ne ilme deen ki ibtidaayi

maaloomaat haasil kar li, ab school ki taaleem ke saath mazeed ilme deen sikhaane ke liye idara e

deeniyat ne 5 saala ibtidaai nisaab ki tarah 5 saala saanwi nisaab aur 5 saala izaafi nisaab bhi

tayyaar kiya hai, jise padh kar taalibe ilm qur'aane kareem ki kuchh sooraton ki mukhtasar tafseer

wa paigaam, zindagi guzaarne ke aadaab, fazeelaton ki roshni mein duaaein, kuchh ahaadees ki

tashreehaat, islaami aqaaid, mukhtalif namaazon ke tareeqe aur apni zindagi mein pesh aane

waale zaroori ahkaam wa masaail se waaqif ho jaayega aur hamaare Nabi ki seerat, khulafa er

raashideen, sahaaba e kiraam, sahaabiyaat aur taabein wa taabi'aat aur akhaabir wa uy

auliya ki zindagi ke haalaat un ke deeni, hukumati, samaaji aur tamadduni kaarnaame aur deen ke

mash'hoor 5 sho'bon : Imaaniyaat, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat se

mutaalliq qar'aan wa hadees ki roshni mein islaahi wa tarbiyati mazaameen padh kar ek behtareen

insaan aur achchha muslamaan ban kar zindagi guzaarega aur arabi zabaan bhi bolna, likhna aur

padhna seekh lega.

Jab yeh nisaab behtareen nizaam, umda tareeqa e taaleem aur mukammal nigraani ke saath

padhaaya jaayega, to is se bachchon ko taaleemi faaida hone ke saath saath maktab ka me'yaar

bhi buland hoga.

Allah Ta'ala hamein jagah jagah munazzam makaatib qaaim karne ki taufeeq ata farmaaye aur

deeni khidmaat ke liye qabool farmaaye. (Aameen)

Page 23: Supervise - urdu.deeniyat.comurdu.deeniyat.com/wp-content/uploads/2016/01/Nigrani-Trans.pdf · Rasoolullah ki masjid main taaleem ke jo halke lagte the, ... daali gayi hai aur ek