Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

64
A A S S t t o o r r y y B B y y : : - - A A J J I I T T S S A A H H O O O O Ye kaahani hai Ajay ki, jisko pehli nazar mein Shruti naam ki ladki se pyar ho jata hai. Lekin Shruti, Rocky naam ke ek ladke se pyar karti hai. Shruti ke paas Rocky ka khoya hua ek diary hai jisme Rocky ke bahut se secrets likhe hein. Ab Ajay ki kahani kon se mod legi aur kaise “Love makes life beautiful” banegi…

Transcript of Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

Page 1: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

AAA SSStttooorrryyy BBByyy:::--- AAAJJJIIITTT SSSAAAHHHOOOOOO

Ye kaahani hai Ajay ki, jisko pehli nazar mein Shruti naam ki ladki se pyar ho

jata hai. Lekin Shruti, Rocky naam ke ek ladke se pyar karti hai. Shruti ke paas

Rocky ka khoya hua ek diary hai jisme Rocky ke bahut se secrets likhe hein. Ab

Ajay ki kahani kon se mod legi aur kaise “Love makes life beautiful” banegi…

Page 2: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

1

Some Thoughts

“Hello everyone, pehle to sabhi ka main teh dil se sukriya ada karna chahta hun, mere pehle story ‘Love is a waste of time’ ko itne pasand karne ke liye aur pyar dene ke liye. Usi ke chalte main apna dusra story likh raha hun…

Zindegi ke raaste par mera bahut se sapne hain, unme se kuch sapne pure hue aur kuch pure nahi ho paye, par ye ek sapne tha humesha se ‘Writer’ banne ka, jo pura ho gaya.

Jo kuch bhi hota he kisi na kisi “Wazah” se hota he, zindegi main kuch bhi ittefaq se nahi hota, to sayed yeh bhi kisi na kisi wazah se hi hua he...

Page 3: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

2

Duniya mein hum sabhi ko khush ya har cheez mein santusti nahi kara sakte. Phir bhi maine pura koshish kiya he iss kaahani ko ache se banane ke liye, taki ye sabhi ke dilon tak pohonche aur usse chuye.

Iss kahani ka buniyaad bhi ek sacchi kahani ko lekar hai, par maine usse thode alag tarah se apne andaz me likha hai. So aasha karta hun sabko ye story pasand aayegi...”

Welcome to Love Makes Life Beautiful…

Page 4: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

3

Act: I

19th December 2011

Aaj main apne pyar ko khone ja raha hun, meri

Patni aaj mujhse door ja rahi he, mere na chahte

hue bhi main aaj waqt ke aage majbur sa ho gaya

hun, pata nahi yeh sab kuch itni jaldi kaise badal

gaya, waqt ke aage jaise main aaj toot sa gaya hun.

Par kabhi kabhi apne aap ko saabit karne ke liye

apne jaan tak gawana padta he.

Woh 2 saal mere zindagi ke sabse haseen saal

the, pata nahi bhagbaan ki aakhir kya marji hai,

Pata nahi kyun aaj kismat ki dor ne mujhe iss

rashte par la ke khada kar diya hai ?. Aise haalat

hain ab mere, na hi main kisi ko kuch keh pa raha

hun, nahi andar hin andar sab kuch seh pa raha

hun. Bas usi ki yaadon mein pata nahi kanhi gumm

sa ho gaya hun…

Page 5: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

4

Act: II

2 year and 9 month before :

24th March 2009

Main Shruti hun, main Aligarh se hun. Aaj

humari puri family Lucknow jaa rahi hai, maama,

papa aur meri badi behen Ranu didi. Meri aur ek

chacha bhi hein, jo humare illake mein bahut jaane

maane hein, unko sabhi log darte hein, wo kisi don

se kam nahi hain.

Waise hum sab meri mausi ki beti Riya ki

shaadi pe jaa rehe hein. Main Train me khidki ke

paas baithi thi, achanak mujhe seat ke niche se ek

Diary padi hui najar aayi.

Woh diary upar se hi bahut khoobsurat najar aa

rehi thi, Jaise koi raaz chupa hua tha usme. Toh

main usse utha ke apne bag mein le aayi.

Page 6: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

5

Phir hum sabhi Lucknow pohnch gaye, wahan

pe sabhi rishtedar aaye hue the, to main bhi wahan

pe unke sath mauj masti main kho gayi.

Agle din maine Riya ke room mein baith ke woh

diary kholi, to pata chala ki woh kisi ladke ka diary

he. Diary ke pehle panne pe uska naam likha hua

tha “Rocky”. Ankh band karke maine socha ki usse

aage padhu ke nahi, lekin main khud ko rok nahi

payi. Phir andar dekha to pata chala ki woh us

diary mein apne bare mein likha tha, aur ye bhi

likha tha ki, ‘usse ek aisi ladki chahiye jo bohot hi

sidhi sadhi ho, Khoobsurat ho par saadgi ke sath,

Zo usse puri zindegi bahut pyar de, humesha uska

sath de’. Achanak se main thodi der ke liye us ladke

ke khayalon me kho gayi, man hi man main uski ek

chabi ban gayi.

Usse pehle main aage ki diary dekhti, Mummy

achanak se mujhe bulate hue room ki aur aa gayi,

aur main us diary ko bed ke niche chupa diya.

Page 7: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

6

Phir shaadi ke bheed mein apne aap ko azzad

nahi kar payi, wo adhoore panne mujhe bula rahe

the.

Aur agle din shaadi khatam hote hi hum sab

Aligarh wapas laut aaye, aur main woh diary laana

bhi bhul gayi.

Ghar to wapas aa gayi, lekin mera mann to us

diary mein hi atak ke reh gayi thi, main bas us

diary ke bare mein soch rehi thi aur us ladke ke

bare mein bhi jis ka woh diary tha.

Phir kuch din baad meri MBA ki admission ho

gayi IIM Lucknow mein aur main Lucknow chali

gayi…

Page 8: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

7

Act: III

1st September 2009

Main Ajay hun, aur main Lucknow se hun.

Bachpan se hi main yahan pe bada hua hun. Main

IIM Lucknow main MBA ke liye admission hua tha.

Aaji ke din mera college mein pehla din tha aur aaj

ka din mere liye bahut khas tha.

Main college ke liye ja raha tha, college ka pehla

din tha aur main late ho gaya tha. Main apne bike

pe ja raha tha, raste pe ek traffic pe uss din bahut

jaam tha. Main bike ka start off kar ke helmate

nikal ke khada tha.

Time hua tha exactly 09:45:35 am. Ye time

mujhe exactly yaad hai, kyun ki iss pal ne meri puri

zindegi hi badal dali.

Page 9: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

8

Achanak mera aankh daaine taraf ek taxi par

pada, wow, lehraati hui zulfe uski chehre pe dhanki

hui thi, ek Khoobsurat si ladki uss taxi pe baithi

thi.

Hawaon se lehraati uski zulfon se uski chehra

mujhe thik se najar nahi aa raha tha. Main uski

chehre ko dekhne ki kosish karne laga tha, jaise

main kisi sapne main kho gaya tha, Kya nazakat

thi uski muskurati adaon main.

Phir woh achanak taxi se meri aur dekhne lagi.

Main to bas bina palke zhapkaye usse hi dekh raha

tha. Phir ekk dum se piche se gaadiyon ke horn ke

awaz sunai diya, aur uski taxi aage badh gayi, main

piche dekha to sabhi gaadiyan mujhe horn maar

rehe the. Piche se koi bol raha tha ‘beta din mein

sapne dekh raha he kya ?’… Main goli ke raftar

main se bike start kiya aur aage nikal gaya.

College pahuncha to college campus mein uss

ladki ko phir se dekha. Yakeen nahi hua aankhon

pe. Wow kya lag rehi thi woh, sidhi sadhi si, ek dum

pariyon jaise khoobsurat thi woh, uski sunehre

Page 10: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

9

baal, woh bolne wali aankhen aur usse dekhte hi

mera dil jaise kuch der ke liye dhadakna hi band ho

gaya, jaise waqt wahin pe ruk gaya ho. Aisa kabhi

nahi hua, aisa kabhi kisiko dekh ke ye ehsaas

mehsoos nahi kiya tha, Mujhe mere sapno ki pari

mil gayi thi. Dil hi dil me main khus ho gaya tha

usse phir se dekh kar.

Main to bas usse dekhte hi reh gaya aur wo

wahan se girls hostel ki aur chali gayi, wo jitna hi

nazron se door ja rahi thi uss waqt utna hi aur mere

dil ke karib aa rahi thi. Shayad woh hostel me hi

rehti thi.

Us raat main puri raat nahi so paya, pata nahi

yeh kaisi bekarari thi? Yeh pyar tha ke aur kuch

mujhe nahi pata tha, lekin sahi galat ke pare bas

usi ka chehra mere aankhon ke saamne jhalak raha

tha. Na chahte hue bhi Raat bhar woh mere

khayalon me aa rahi thi. Isse main kya kehta, Pyar

maine kabhi kiya nahi tha, bas ek khoobsurat sa

ehsaas tha wo. Bilkul filmon ke jaisa, kya isse pyar

kehte hain…?

Page 11: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

10

Mujhe ehsaas hone laga ki yehi woh mere sapno

ki pari he jiska main aaj tak intezar kar raha tha.

"Dil kahin kho gaya hai, bas ussi ka ho gaya hai.

Jaise ek Jariya mil gaya hai khush hone ka.

Aankhon mein bahot se khwab bunn liye hain ussi

ke liye, jaise ek naya rishta ban gaya ho mera kisi

ajnabi ke liye. Kyun ki Pyar ka koi waqt nahi hota,

aur iss dil pe kisi ka zor nahi hota..."

“AJit”

Dil mein bas ek arman jaag utha tha, aur main

bas ussi ke piche bhaag raha tha. Mujhe kahin aage

nahi jaana tha, bas ussi pal main ussi ke paas hi

ruk jana tha.

Agle 2-3 din tak main bas usse dekhta hi raha,

in kuch dino se main din aur raat bas usi ke sapne

dekh raha tha aur nind bhi kam hone laga tha.

Nind aati bhi kaise kyun ki woh to meri nind

chura ke le gayi thi, aur woh jaise mere palko pe

aake baith gayi thi. Ye sab naya naya sa tha, par jo

Page 12: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

11

bhi ho raha tha acha lag raha tha. Khuda hi jaane

yeh kya ho gaya tha mujhe. Sayed iss dil ko pyar ho

gaya tha, aur ye sab pehla pyar ka hi nasha tha.

Ek din main canteen me uski samne wali chair

pe ja ke baith gaya, woh akeli bethi thi.

Main bola, "hii, I am Ajay..."

Woh boli, "helloo, shruti"

Main thoda excited hote hue bola, "aap kahan se

ho?"

Woh boli, "Aligarh se hun, aur aap?"

Main bola, "main yahin se hun, Lucknow se.."

Uske samne main kya bolu kya kahu kuch sujh

nahi raha tha. Zubaan ke sabd apna pata bhool

rahe the. Kitna kuch soch raha tha itne dino se, par

uske samne kuch yaad aya hi nahi.

Kuch der baad woh chair se khadi ho gayi aur

muskan ke sath boli, “main chalti hun, class ke liye

late ho raha he, Bye..”

Main bhi bola, “bye..”

Page 13: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

12

Us din raat ko main facebook pe search kiya to

uski profile dekha, aur maine friend request bhej

diya.

Agle 4-5 din ke baad wo mera request accept kar

li thi, aur hum facebook pe thoda chatting karne

lage aur ajnabee se friend ban gaye the.

College mein mere 3 ache dost the. Lalit,

Avinash aur Samir. Sab mujhe bolne lage bhabi ko

jaldi propose kar de, usse pehle koi aur baaji mar le.

Agle din phir se canteen me uske samne chair

pe ja ke baith gaya aur bola, “hii, kaise hain aap?”

Woh boli, “achi hun, aur aap?”

Main bola, “thik hun…”

Phir kuch seconds ke liye hum dono khamosh

the. Par main to uski aankhon mein dekh raha tha.

Uski unn aankhon ki kajal ne to jaise mujhe

pagal sa bana diya tha. Mera to uski chehre se

najar hi nahi hatt raha tha. Uski wo gulabi honto

ko jitna bhi dekhun, par mann nahi manta tha.

Page 14: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

13

Najaane kyun woh sare jahaan se bhi jyada

khoobsurat lag rahi thi.

Main apne aap ko rok nahi paya, aur achanak

se bol pada, “ek baat bolun”

Woh boli, “haan, boliye”

Main thoda hadbadate hue bola, "aap bahut

sundar ho, i think i am in love with you…"

Woh boli, "what"

Main bola, “jee haan, main aapko college ke

pehle din se dekh raha hun, aur aap mujhe bahut

achi lagti ho, us din se main din raat bas aapke

khayalon mein hi rehta hun, bas aap ke hi sapne

dekhta rehta hun, na hi nind thik se aati hai, na hi

aur kuch thik se kar pata hun.”

Wo boli, “dekho mujhe ye sab pasand nahi.”

Aur wo wahan se uth ke chali gayi.

Achanak se kuch der ke liye jaise dil baith sa

gaya, Haaye uske inkar main kya adabazi thi.

Maine socha aare maine ye kya bol diya, phir maine

Page 15: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

14

apne dil ko samjhate hue bola, Jannat ki pari hai ye

koi mamuli ladki thodi na hai jo itni aashani se mil

jayegi mujhe.

Agle din jab woh class room ki aur aa rehi thi,

tab main achanak se uske samne aa gaya aur bola,

“sorry, waise kal tum aise achanak se uth ke chale

kyun gayi?”

Woh boli, “mujhe ye sab pasand nahi, please

mujhse baat mat karo…”

Main bola, “dekho main to sirf apna feelings

tumhe bata raha tha, main tumpe koi dawab thodi

daal raha hun, its ok. Mujhe tumse pyar hai, tumhe

mujhse nahi hai, lekin jab tumhare dil me bhi mere

liye feelings aa jaye to batadena, intezar karunga

tumhara”

Woh kuch nahi boli aur wahan se chali gayi.

Aise hi kuch din chalta gaya, in dinon main bas

usse dekh raha tha, usse baate karne ki koshish bhi

kar raha tha, par woh shayad mere aise harkat se

pareshan ho chuki thi. Mujhe bhi bura laga, so

Page 16: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

15

main usse aur jabardasti baat karne ki kosish nahi

kiya.

Mann hi mann me main dukhi tha, mere friends

mujhe bole, yaar udas mat ho, hum hai na, tera

setting karwa ke rahenge. Main uska pyar chahta

tha lekin iss tarah nahi, uski dil ke andar se.

Ek din break ke time pe main canteen pe akele

baith ke khana kha raha tha aur achanak se shruti

aa ke mere samne wale chair pe baith gayi aur boli,

“hiii…”

Main ek dum se dang reh gaya usse dekh ke,

bohot hi ajeeb laga mujhe, mera muh jaise khule ka

khula reh gaya aur main bas usse dekh raha tha.

Woh boli, “oye hellooooo….. muh to band karo

apna, warna makkhi ghus jayega…” woh ek

naughty si smile dete hue boli.

Main sapno ki duniya se bahar aate hue bola,

“haan, hiiii…”

Woh boli, “kahan kho gaye the itne waqt se?”

Page 17: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

16

Main had badi main bola, “kahin nahi…”

Woh boli, “waise tum itna bure bhi nahi ho,

jitna main samajh rahi thi…”

Main thoda had badaate hue bola, “matlab”

Woh muskurate hue boli, “kuch nahi”

Aaj uski baaton se ek chamak si najar aa rehi

thi, woh mujhse kaafi ghul mil ke baat kar rehi thi.

Mujhe to kuch samajh me nahi aa raha tha, ki

mere sath ho kya raha hai? Ye haqiqat hai ya koi

sapna. Usse ho kya gaya hai, chalo jo bhi ho woh ab

mujhse ache se baat karne lagi thi.

Dhire dhire hum ache dost ban gaye the, main

khus tha, kyun ke woh ab mujhse bahut sare

battein share kar rahi thi…

Agar tum mil jao

Zamana chor denge hum…

Page 18: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

17

Jab hum dono coffee shop mein andar gaye to

yeh gaana baj raha tha wahan pe.

Actually us din Sunday tha. Woh to hostel me

reh rahi thi, toh Sunday ko hi bahar nikalti pati thi.

Uss din hum sath mein shopping karne gaye, thode

se ghum phir ke ek coffee shop gaye.

Wahan pe hum aamne samne ho ke baithe the,

uss din wo ek jeans aur ek pink colour ki top pehni

thi, uss dress mein woh aur bhi jyada khoobsurat

lag rahi thi.

Usse dekhne ke liye mere dono aankhen jaise

ghum rahe the. Mera mann to jaise bas ussi ki aur

khinche ja raha tha.

Us din uski aankhon me ek alag si baat thi,

mujhe mehsoos hua shayed woh kuch kehna chahti

thi.

Main bola, “Shruti…”

Woh boli, “haan…”

Main bola, “kuch kehna chahti ho kya?”

Page 19: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

18

Woh thodi si sharmate hue boli, “kehna to he

bahut saare baatein, par kahan se suru karu kuch

samajh me nahi aa rahi he…”

Main bola, “jahan se marji suru karo, par mann

ki baat bol do, mann halka ho jaega, aur waise bhi

main to tumhari muh se sunne ke liye tadap raha

hun.”

Woh phir se thodi si Sharma gayi. Main bas

usse dekh raha tha, kuch der baad woh bolna suru

ki…

Shruti boli, “kya tumhara aisa koi diary tha, jo

kabhi kho gaya ho?”

Main bohot hi heran rehgaya ye sunke, fir

maine bola, “haan, karib 1 saal pehle mera ek diary

kho gaya tha train me, jisme main apna dil ki baat

ko likh ke rakhta tha. Par tumhe kaise pata…? Ye

baat mere alwa aur kisi ko bhi pata nahi.”

Shruti:-

Muskurate hue boli, Actually pichle march me

main aur humari family meri mausi ki beti ke

shaadi me lucknow aa rehe the, train se. To mujhe

train me hi ek diary mili thi, upar se bahut sundar

Page 20: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

19

dikh raha tha to main uss diary ko apne sath le

aayi thi.

Baad me main uss diary ko dekhi to pata chala

ki kisi “Rocky” naam ki ladke ka hai. Bas thoda sa

hi uss diary ko padh payi thi, aur shaadi me bheed

hone ke karan pura padh ne ka mauka nahi mila

tha.

Aur phir main uss diary ko wahan bhul aayi thi.

Tab main woh andar ka photo bhi nahi dekhi thi.

Phir kuch mahine baad jab main Lucknow

padhne aayi, to kuch din baad main apni mausi ke

ghar gayi thi aur wahan se uss diary ko apne sath

le aayi. Baad me us diary ko pura padh li, aur us

ladke ke liye pehle jo humdard thi mere dil me woh

pyar me badal gayi. Par usme tumhara photo dekh

ke main chauk gayi thi.

Phir dhire dhire tumse friendship kar ke

tumhare bare me aur jaan ne lagi, aur ye bhi pata

chala ki tumhara nick name Rocky he. Tum bohot

hi saaf dil ke ho Ajay. Tum bahut ache ladke ho.

Us diary me us ladke ko lekar jo sapne maine

sajaye the, woh sach hone jaisi lagne lagi. Maine to

Page 21: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

20

kabhi khwaabon mein bhi nahi socha tha ki meri

chahat ko mere khuda aise tumhara chehra denge.

Pata nahi ye dil tumhare khatir kab ruk gayi.

Ajay, I think mujhe bhi tumse pyar ho gayi hai…

Ajay:-

Ye sab sun ke main dang rehgaya tha, par mann

khusi se uchal raha tha. Jaise saagar mein lehre

khilti hui kinare ki aur aate hein waise hi khusiyon

ki leher mere dil main khilne laga tha. Mein bayan

bhi nahi kar sakta ki uss lamhe mein kiss kadar

apne aap ko jee raha tha. Ek ajeeb si khushi thi, ek

ajeeb sa deewanapan tha. Udd raha tha main jaise

unn chahat ki badiyon main, dubkiyaan laga raha

tha unn chahat ki samundar main.

Lambe samay ke baad jaise mera sapna sach ho

raha tha, main bas uski aankhon mein aankhen

daal ke usse dekh raha tha.

Hum dono humare pyar ke rishte ko aage

badhate hue bahut saare khwab sajaane lage the.

Dhire dhire jaise uske bina ek pal bhi rehna mere

liye muskil sa tha.

Page 22: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

21

"kabhi kabhi shabein bhi kam pad jaati hein apne

Jazbaaton ko bayan karne mein.

Aur kabhi raatein bhi kam pad jaate hein apne dil

ki baat jatane mein.

Par mujhe bas itna hi kehna hai tumse, tum hi ho

Jo rehti ho inn dhadkano mein ..."

“AJit”

Ye hai ‘Chaya’, “meri roommate aur best

friend…”, Shruti boli…

Ek din shaam ko jab shruti mujhse milne aayi to

woh apne friend chaya ko apne sath le kar aayi thi.

Hum us din ek park gaye the.

Maine Chaya ko “hiii” bola.

Shruti chaya se boli, “ye Ajay hain..”

Chaya boli, “hiii.., shruti apke ke bare me bahut

baatein karti hai.”

Page 23: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

22

Main shruti ki aur dekh ke halka sa muskaan

diya.

Chaya:-“waise kal meri birthday hai, aapko

shruti ke sath aana he...”

Maine bola, “jee jaroor”

Shruti:-“waise Govind jee bhi aa rehe hain..”

Main shruti ko thoda confuse ho ke dekhne laga.

Shruti:-“are uski boyfriend, Delhi mein rehte

hein, software engineer hain…”

Main bola, “ohh, nice…”

Chaya:-“okk to phir main chalti hun, tum dono

masti karo, kal milte hein, bye...”

Hum dono ne bhi usse “bye” bola.

Chaya ke jaane ke baad Shruti boli, “pata he,

unke bare mein unke ghar walon ko pata hai, aur

dono ke ghar wale unke shaadi ke liye raaji hein.”

Main bola, “ye toh bahut hi achi baat he..”

Page 24: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

23

Woh thodi udaas ho ke boli, “haan, par mujhe

bahut fikrr ho rehi he…”

Main ghabrate hue bola, “kyun..?”

Woh ekdum maayush ho ke boli, “pata he Ajay,

humare ghar mein jab humare rishte ke bare mein

jaanenge na to woh humare rishte ke liye kabhi

nahi maanenge ...”

Main uski haath main mere haath ko thaam ke

kaha, “kyun, hum dono aisa kya hai jo alag hai jo

wo nahi maanege. hum to same caste ke bhi hain,

Brahmin…, Tum fikr mat karo sab thik hoga”

Woh sar jhuka ke boli, “haan, par phir bhi kabhi

wo log iss baat pe razi nahi honge, woh sabhi love

marriage ke bilkul khilap hein. Aur 5 saal se meri

Ranu dii zid lagake baithi he, phir bhi raazi nahi ho

rehe hein...”

Main uski gaalon ko pakad kar uske aankhon se

aankhe mila kar bola, “tum tension mat lo, main

tumhare saath hun humesha, kyun ki tum to meri

amanat ho, zindagi ho meri. Har Muskil halat se

Page 25: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

24

ladh sakta hun, lekin zindagi gawa ke zinda kaise

reh paunga. Haan main tumse zindagi se bhi jyada

pyar karta hun, tum bas mujhse ek vaada karo ki

mujhe kabhi akele chor ke nahi jaogi…”

Woh mujhe ekdum jor se pakad li, aur boli,

“kabhi nahi…”

Shruti:-“waise ek baat bolo…”

Main bola, “kya..?”

Woh thodi Badmashi ke andaaz me boli, “tumhe

mujhse itna pyar kab ho gaya… haan…”

Main muskurate hue bola, “jab tumhe pehli

baar traffic signal ke paas dekha tha, tum taxi mein

thi, pata he us din raat bhar mujhe bas tumhari hi

chehra najar aa raha tha, so nahi paya tha uss din,

Nindein gawa ke tumhare chehre ka deedar kiya

karta tha, pyar toh mujhe ussi din se hi hogaya

tha…”

Shruti:-“ohh, so sweet Ajay, I love you so

much…”

Page 26: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

25

Main smile karte hue, “love you too my

baby…”

Aise mein wahan pe achanak Lalit aur uski

girlfriend Neha aa gaye.

Lalit:- “aare tum dono yahan… waise Namaste

Shruti bhabi…”

Shruti bhi usko Namaste bolte hue, Neha ko bhi

hii boli.

Main bhi Neha ko bola, “Namaste bhabi, aur

kaise hein aap…?”

Neha:- “Namaste..thik hun, aur aap dono..?”

Main aur Shruti ek sath unko bole, “maze mein

hein..”

Shruti mujhe dekh ke smile ki aur main bhi.

Phir woh dono ke chale jaane ke baad, shruti

boli, “waise kal chaya aur govind kahin long drive

pe jaane ka program banaye hein, aur woh hum

dono ko bhi invite kiye hain, chale kya..?”

Page 27: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

26

Main bola, “jaise tum kahoge mere jaane

mann…”

Shruti smile karte hue, “chalo ab chaya ke liye

kuch gift lane bhi jaana hai…”

Waise to hum dono boyfriend-girlfriend kam aur

husband-wife jyada the. Hum dono ek dusre se

saari batein share karte the, har wo choti cheez ko

ehmiyat dete the, ek dusre se aise bartao karte the

jaise hume ye ehsaas hota tha ki hum pati patni

hein.

Aare baba dhire chalo, Shruti piche se bol rehi

thi mujhe… Jab main karib 90km/hr ke speed se

bike chala raha tha…

Ye agle din ki baat hai, jab hum chaya aur

govind ke sath long drive pe nikle the, chaya ke

birthday ke din.

Main gaadi dheere karte hue bola, “par woh

dono bahut aage jaa rehe hein.”

Page 28: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

27

Woh boli, “to kya hua, tum aaram se gaadi

chalao, mujhe darr lagta he. Aur waise bhi main

tumhare sath jyada se jyada waqt bitana chahti

hun.”

Main bola, “okk, waise bhi jaldi kisko hai…”

Woh boli, “right…”

Main bola, “pata hai Shruti, jab se tum mujhe

mili ho mere zindegi ke mausam hi badal gaye hein.

Ab to bas raat aur din tumhe dekhna aur tumhari

baat sochna mera aadat ban chuki hai…”

Shruti peeche se mujhe jor se pakad te hue thodi

si dheemi awaz mein boli “Ajay, kabhi bhi mujhse

door na hona, aur ye ehsaan mujhpe humesha

banaye rakhna…”

Main bola, “aise mat bolo, main to aakhri saans

tak bas tumhara hi hun aur tumhe aise hi pyar

karta rahunga.”

Hum uss din Lucknow city se door ek tourist

place pe gaye the, phir wahan pe hum bahut sare

Page 29: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

28

photo bhi click kiye aur phir laut te waqt ek hotel

main hum sab khana khaye.

Chaya aur Govind ki taraf se uski birthday treat

thi. Phir laut te time bhi bahut saare masti kiye

hum sab.

Congradulation Shruti…

Thanks Ajay, and Love you…

Ye baat 17thoct 2011 ki he. Humari college

khatam ho gayi thi, aur Shruti ko ek achi company

mein job mil gayi thi. Uske 15 din pehle mujhe bhi

job mil gaya tha, aur main join bhi kar chuka tha.

Hum dono bohot khush the kyun ki zindagi ki ek

naye padao ki aur hum dono kadam badha rahe the.

Sab kuch badhiya se chal raha tha, aise mein

kuch din gujar gaye. Diwali ka time tha, Shruti

chutti mein apne ghar gayi thi, Aligarh…

Par ghar se laut te hi uski bartaaw thode thode

badli badli si nazar aayi. Haalat kuch aise banne

Page 30: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

29

laga jo mujhe ek andhere raste ki aur khincha le ja

raha tha. Woh aksar Akash se baat kar rahi thi.

Actually Akash humare sath college mein padhta

tha.

Jab bhi usse iss baare mein puchun toh wo bolti

thi, Akash se facebook ya phir whatsup pe chatting

kar rehi hai. Mujhe thoda ajeeb sa lagta tha, aur

haal kuch aise ban rahe the jiska mujhe bohot fikrr

sa hone laga.

Akash shayed Shruti ko pasand bhi karta tha

college ke waqt se, ye baat Shruti mujhe kain baar

batayi bhi thi. So maine Shruti ko bola, to woh boli,

“tum parishan mat ho, woh bas aise hi ache dost ki

tarah baat karta hai…”

Kuch din aise chalne laga, shruti mujhse kam

aur uss Akash se jyada baat karne lagi thi. Mujhe

bhi thoda insecure jaisa feel hone laga. Cause ye

baat ek ya do dino ki nahi roz ki thi. Chutti main

jaane se pehle main jiss shruti ko janta tha wo ye

bilkul nahi thi. Ek din maine usse bola, “dekho

shruti, mujhe ye sab pasand nahi hai ke tum uss

Page 31: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

30

Akash ke sath baat karo… So ya to tum usse baat

karo ya phir mujhse, kisi ek ko chun lo. Aur main

yeh baat aakhri baar bol raha hun…”

Woh boli, “main aise nahi bol rahi hun ke tumse

baat nahi karungi, par main usse bhi baat karna

nahi chor sakti.”

Main toh ekdum se dang reh gaya uske muh se

ye baat sunke. Phir kya hona tha, roj roj humare

bich bewazah ke jhagde hone lage. Mujhe toh

yakeen nahi ho raha tha ke kya yeh wohi shruti he

jo mere bina 1 din bhi nahi reh paati thi. Jo

humesha itne pyar se mujhse baat kiya karti thi, jo

mere alawa kisi aur ko dekhti tak nahi thi, wo aaj

mujhse lad rahi hai kis aur se baat karne ke liye.

Agle din chaya mujhe phone kar ke boli, “Shruti

ne bataya ki tum dono ke bich bohot parishaniyaan

chal rahi hai…”

Maine usse saare baatein ache se bata diya.

Phir woh boli, “thik he, main shruti se baat

karungi…”

Page 32: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

31

Uske baad chaya najaane Shruti se kya boli, par

shruti mujhe phone kar ke ekdum gusse mein boli,

“tumhe kisne kaha tha usko ye sab bolne ke liye...”

Main bola, “tum hi to pehle usse boli thi ki

humare beech problems chal rahe hain…”

Woh thodi si jor awaz mein boli, “haan, par

tumhe usse ye sab bolne ki kya jaroorat thi,

dhendora pit rehe ho kya duniya walon ke samne,

kya dikhana chahte ho ke main tumhe dhoka de

rahi hun…”

Main bhi thoda pareshan ho gaya, aur halki

aawaz mein bola, “kitne jor awaz mein baat kar rehi

ho shruti. Tum kya chahti ho hum dono ke rishte ke

bare mein kisi ko pata na chale!!! Ruko main ab sab

ko humare bare mein bata deta hun…” ye baat

main thode gusse mein aa ke bol diya, par mere

baat ka aisa matlab nahi tha.

Achanak woh rone lagi, phir bhi jor se bol rehi

thi, “wah, yehi karoge tum, mujhe pata tha. Tum

mujhe dhamki de rehe ho, blackmail karna chahte

ho… Aaj se tumhara aur mera rishta khatam,

mummy sahi bolti thi, tum aise hi ladke ho…”

Page 33: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

32

Actually kuch mahine pehle hi uski mummy ko

humare rishte ke bare mein pata chal gaya tha. Woh

mujhe phone pe bahut kuch sunayi thi, par baad

mein woh mujhe kahin baar phone bhi kar rehe the

aur ache se baat bhi kar rehe the. Pata nahi kyun,

par mujhe laga ki woh sayed raaji hein. Par sayed

unme unki koi matlab ho.

Mujhe to kuch samajh mein nahi aa raha tha ki

ye sab mere sath kya ho raha hai, ye sab shruti se

sunke, mere aankhon se aansoon nikal rehe the aur

main shruti se yehi keh raha tha, “aise mat bolo

shruti…”

Woh boli, “please mujhe phone mat karna…”

Yeh baat bol ke usne phone kaat diya. Uske

baad maine usse kahin baar phone kiya par woh

phone receive nahi ki… Jiss pyar ko itni siddhat se

tarasha tha, usko berbaad karne mein bilkul bhi

waqt nahi laga. Samajh main nahi aa raha tha

mujhe, ke main kya karun, waqt ke iss khel ke aage

meri nasamajh dimag aur dil jaise apne aap mein

ek jung lad rahe the…

Page 34: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

33

Act: IV

19th December 2011

Aaj meri Shruti mujhe tanha chor ke chali

gayi, aisa lag raha hai duniya ne hi dil tod diya.

Tum agar mere paas hote, to main duniya ke

sare gum hasake bhi seh leta. Magar tumhare bina

aaj meri kahani udta hua ik dhuaan aur mit ta hua

nishaan ke jaise ho gaya hai.

Ab to woh mujhse muh mod li he, aisa lag raha

tha jaise zindagi ne hi muhn mod liya ho, mujhe

zindagi se nafrat hone laga tha, main aur jeena

nahi chahta tha. Main soch raha tha ki maine aisa

kya kar diya, jo woh mujhe aise bolti he ke main

usse blackmail kar raha hoon, usse jabardasti apne

paas rakhne ki koshis kar raha hoon.

Main kuch samajh nahi pa raha tha. Bilkul

akela ho chukka tha.

Page 35: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

34

Main usse bahut samjhane ki koshish ki, par

woh naa hi mere upar bhorosa karti thi naa hi mere

baaton ka.

2-3 din aise hi chala gaya, main bas usse

samjhane ki koshis kar raha tha ki woh jaise

samajh rehi hai waisa kuch bhi nahi hai, main sirf

usse be-intehan pyar karta hoon aur uske siwa jee

bhi nahi sakta.

Phir maine bola tum hi batao ke main kya

karun, kaise tumhe mere baaton par yakeen

dilaun?

Woh boli, “tumhare paas jo kuch bhi hai humari

chize sab khatam kardo, jaise ki jo kuch photo he

sab delete kar do, aur baaki ke chize mujhe de do.”

Tum pyar karte ho toh sabit karo, ye sab cheezon ke

bina.

Mere labz thirak uthe, pata nahi saari yaadein

jaise mein ek pal maein khone ja raha tha, wo kya

ehsaas tha main bata nahi sakta. Main achanak se

roo pada aur bola, “woh sab humari yaadein hein,

un sab photo ko kaise delete kar dun.”

Page 36: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

35

Woh boli, “haan to mere paas hai woh sab photo,

aur jab mujhe tum par bharosa ho jayegi to main

tumhe phir se de dungi… Waise agar tum wo sab ko

rakh ke sayed mujhe aur blackmail karne ki koshis

karoge to, kya bharosa tum par.”

Main kuch bolne ke halat par nahi tha us waqt,

kaise meri shruti mujhe bol sakti hai, kya main itna

bura insaan ban gaya hun uske liye ab, jiske liye

kabhi main sabse pyara tha. Pyar bhoroshe se

chalti hai. Agar koi insaan kisise pyar karta hai

usko ek had tak pata hota hai ki wo kaisa hai.

Lekin shruti ki baatein sunke bilkul bhi nahi lag

raha tha ki usse wo pyar hai. Sab bas ek matlab lag

raha tha.

Phir maine apne aap ko saabit karne ke liye

uski har sart maan liya, ek baar bhi nahi socha, na

aage na peeche, na sahi na galat bas uski khushi

dekhi maine aur jo usse chahiye tha. Kyun ki mujhe

pata tha ke main galat nahi hoon, haan bas thoda

sa gusse main bol diya tha. To main bola, “thik he

tum jaise kahogi main waisa karunga.”

Page 37: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

36

Phir main sab kuch khatam kar diya, par uske

baad bhi woh boli, “kya pata tum aur bhi kuch rakh

diye hoge, kya pata.”

Main bola, “tume biswas dilane ke liye tum jo jo

bole sab kiya, par agar tum mujhse door jane ki

thaan li ho to, sach mein main tumhe jitna bhi

koshis karlu rok nahi paunga.” Kanhi na kanhi

andar se main bohot dara hua tha, kyun ki pyar

labzon se bayan toh ho jata hai lekin mehsoos dil se

hota hai. Lekin shayad usne apna wo darwaza band

kar liya tha. Ek bujhti hui roshni ki tarah wo meri

nazar se dinwo din ojal hoti ja rahi thi aur main

kuch nahi kar pa raha tha.

Dhire dhire woh mujhse baat karna bahut kam

kar di, main to jaise bechein sa ho raha tha har

waqt. Subha office jata tha, aur office main bhi

mann nahi lag raha tha, us mahine mera office

mein performance bhi kharap ho gaya to mujhe

warning bhi diye gaye. Phir shaam ko office se ghar

lautke bas akele hi waqt bitata tha, woh 3-4 din

mein ek baar baat karti thi wo bhi 2-4 minute ke

liye.

Page 38: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

37

Main to bas pagolon jaisa ho raha tha. Raat ko

nind nahi aata tha, har waqt becheni sa lag raha

tha, na hi khana thik se kha paa raha tha nahi thik

se soo paa raha tha nahi aur kuch kaam thik se kar

paa raha tha.

Waqt bhi kitna ajeeb hai na, Jab usse pehli baar

pyar hua tab bhi nind chain gumshuda the aur aaj

dekho usse bichad ke bhi sab ghum hai. Kyun hota

hai aisa? Iss sawal ka waqt ke pass bhi koi jawab

nahi tha. Bas akela main apne aap se lad raha tha.

4 din baad new year tha, phir dil me ek halki si

aash thi ki shayed ye Naya Saal kuch acha lekar

aayegi mere liye, bhagbaan ko bas yehi maang raha

tha ki jitna dard mujhe dena he aapne diya, mujhe

koi sikayat nahi, bas meri shruti mujhe lauta do.

Tujhe to main bas duaa se manga tha aur teri

mohabat ko jeet ke tujhe paya tha. Par mera to

yahan tere siva koi aur nahi hai, kis ke sahare mein

jee paunga ab. Yaadon ke ghere main akela unn

khushiyon ke palon ko palkon mein liye jaise main

tadap raha tha, taras raha tha.

Page 39: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

38

Waise to har saal meri shruti mujhe sabse

pehle wish karti hai aur main bhi usse, par is saal

ke chalte waqt ko dekh ke asha nahi tha, aur wohi

hua. Woh new year ke 4 din pehle se hi mujhse baat

nahi ki thi.

Main 31st December ko Lalit ke ghar chala gaya,

kyun ke aise khas din par mujhe bahut akela

mehsoos ho raha tha, phir raat ke 11.50 minute se

chatt pe ja ke usse phone laga raha tha, kyun ke

mujhe usse sabse pehle wish karna tha, par uski koi

jawab nahi mili. Phir thik 12.01 am ko uski phone

waiting pe aayi, to main gusse se phone cut karke

room me aa gaya. Phir 12.05 am ko uski phone aayi

to Lalit bola “ja ache se baat kar lena aur gussa mat

hona.”

Phir maine phone receive kiya aur 2 minute

baat kiya, mujhe pata tha ki woh ab mujhse pehle

wish lena nahi chahti, kyun ke uske life me mera ab

koi wajood nahi tha, koi ehmiyat nahi tha.

Mujhe usi time pata chala ki woh apne uncle ke

ghar gai he.

Page 40: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

39

Yeh baat sunke mere dil ko aur bhi thess

pahuncha, kyun ke aisa pehli baar hua tha ki woh

mujhe na batakar apni ghar bhi chali gayi aur phir

apne family ke sath new year manane ke liye uncle

ke ghar.

Mera dil to jaise baar hi baar bas toot hi raha

tha, koi umeed najar nahi aa rahi thi aur isi tarah

mere zindagi ka sabse dardnaak saal ki suruwat

hui thi. Aisa lag raha tha jaise meri manjil mujhse

ruswa ho gayi thi, aur main apna har raasta kho

chuka tha. Ek bhatakta hua musafir bangaya tha.

Us din main shaam ko mandir gaya aur

bhagbaan ji se bas ek hi guzarish ki ke, ‘hey

bhagabaan mujhe meri shruti lauta do.’

Meri duniya mujhse gum ho gayi thi, kyun ki jis

duniya ko mein waqt ke hatheli se chura ke laya

tha aur apna banaya tha aur jiska har mod pe sath

nibhaya tha, woh meri duniya aaj mujhse kho gayi

hai. Aansu ke boond pe bhi jaise uski hi tasveer thi.

Page 41: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

40

“Yeh zindegi bhi humein kabhi kabhi aise mod par

le aati he, jahan se hume sirf dard hi dard najar

aati he, par us dard ke aage kabhi jhukna mat,

kyun ke yehi humein aage le ja kar kamyabi tak

pahunchati hai…”

“AJit”

Kuch din beet gaya, par woh mujhse bahut kam

baatein kar rehi thi. Ek din mujhe bahut jyada uski

yaadein satane lagi thi, maine usse 4-5 baar phone

kiya par woh phone nahi receive ki, phir kuch der

baad maine phir se phone kiya to woh phone receive

kar ke bohot hi shaqt voice mein boli, “main abhi

office mein hun, baat nahi kar sakti.”

Aur phir usne phone disconnect kar diya, mujhe

toh jaise becheni sa ho raha tha, main us din lunch

bhi nahi kar paya, phir raat ko phir se phone kiya

to bhi woh receive nahi ki.

Phir maine ek sms bhej diya ke, “jab tak tum

baat nahi karoge main khana nahi khaunga.”

Page 42: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

41

Main to bas isliye aise bol diya ki sayed usse

mere liye thodi fikr ho jaye aur woh apni time nikal

ke mujhse thoda baat karlegi.

Par jo main soch raha tha sab uska ulta ho

raha tha, achanak uski sms aayi, “han, aise hi tum

bas mujhe dhamki dete rahoge ke baat nahi

karungi to khana nahi khaoge.”

Phir main usse phir se phone kiya, 4-5 baar ke

baad woh phone receive ki aur wohi sab baatein

sunane lagi ki main usse dhamka kar rakhne ki

koshis kar raha hun. Us din main usse baat karte

waqt itna roya sayed pure zindegi mein bhi nahi

roya hoga, par usse jara bhi fark nahi pada.

Jo mujhse itna jyada pyar karti thi usse mujhpe

rehem tak nahi aya.

Kya yeh wohi shruti thi jo kabhi mere aankhon

se ek boond bhi aansu nikal jaane par khud roo

padti thi. Kya waqt itna badal gaya ya fir uska

pyar.

Page 43: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

42

Un dino woh mujhse milne se bhi inkaar kar

rehi thi, bol rehi thi pehle biswas ho jaye phir ja ke

mujhse milegi, aur phir karib dedh mahine baad

February mein usse mulaqat hui.

Jaise hawa badal gayi thi, wese uski fitrat bhi

jaise badalsi gayi thi. Hum ek sath baithe to the,

par jaise pehle jaisa kuch bacha hi nahi tha humare

bich. Jaise mera sath usse ghut ta tha. Baaton mein

koi gehrai nahi tha, bas ek tassali ke liye baat hoti

thi.

Aise humara milna bhi kya milna, jo hum dono

sath hote hue bhi mujhe tanha sa lag raha tha.

Mujhe to uske sath aur bhi jeena tha, uspe aur

marna bhi tha. Par mere dil mein naajane kyun

aise judaai bhar gayi hai, najaane kis chiz ki mujhe

itni sazaa mil rahi thi.

Baat chit ab kabhi 4-5 din mein ek baar to

kabhi 8-10 din mein ek baar hone laga tha, kya

waqt aa gaya tha, ek waqt tha jab hum roj ghanton

baat kar rehe the. Ab to woh ye bhi bolne lagi ki

agar uske ghar wale raaji nahi honge toh woh mere

Page 44: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

43

sath nahi rehegi. Aisa lag raha tha jaise usko apna

kiye hue vaade tak bhi yaad nahi. Sab bandhan

jaise tootne laga tha. Jaise wo jaan bujh ke mujhse

door jana chahti thi, Koi bazah mujhe nazar nahi aa

raha tha aur idhar main pal pal mar rah tha. Jaise

usko mera sath ghut ta tha aur wo bas mujhse

chutkara chahti thi. Kyun agar koi sath rehna

chahhe toh uske Vadon se jyada uski icha aur

badhai hue kadam maine rakhte hain..

Aaj se pehle to woh kabhi bhi mujhe aise gam

nahi di thi, par najaane kyun aaj mujhe aise tanha

chor di hai. Woh to humesha se mujhe apna maan ti

thi, phir aaj woh apni adaa kyun badal rahi hai.

Aisa usne kyun kiya..?.

Mera to zindegi badtar ho chuka tha, mujhe

dheere dheere ehsas hua ki main sach main isse

apne sath nahi rakh sakta, kyun ki agar woh hi

mere sath rehna nahi chahti to main lakh koshish

karlu koi fayeda nahi.

Waise bhi dard to sirf mujhe hi ho raha tha, woh

to shayad apni zindagi mein mast thi, khush thi.

Page 45: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

44

Usse koi farak nahi padta tha, janha usse meri

parwah tak nahi hai wanha sirf aansu bharke

aankhon mein kya pyar jata pata.

Sayed ladkiyan aise hi hein, woh bahut jaldi sab

kuch bhool jaate hein. Itne saalon ke rishtey ko woh

kitne jaldi bhula dete hein. Sach mein ladkiyon ki

soch bahut jaldi badal jaati hai. Woh to waqt ke

sath bahut jaldi aage badh jaate hein. Par ladkiyan

kabhi bhi ek ladke ki dard ko nahi samajh paati

hain. Ki wo chahe jitney bhi shaqt kyun na ho par

ek ladki jisse wo pyar karte hain un mein unki

duniya basti hai. Wo chahe sab kuch karle lekin fir

bhi uss ladki ki zaroorat unhe apni zindagi ki har

wo cheez mein hoti hai. Unke bina ek ladka adhoora

hota hai.

Phir main ye sochne laga ki sayed yehi sahi waqt

hai iss duniya se dur hone ka aur khamosh rehne

ka. Agar woh meri hogi to jaroor wapas aayegi, agar

nahi hogi, toh nahi. Chor diya sabkuch halaat pe.

March mein maine usse aakhri baar mila tha,

hum dono ek restaurant gaye the. Us din main usse

Page 46: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

45

apne sari yaaden jaise ki wo sab photo dene ko bola,

par woh nahi di, boli jab usse biswas ho jayega tab

degi. Main thode gusse se usse bol diya, “agar dena

nahi chahti ho to sidhe bol do, aise baat baat pe

khilwad mat karo zindegi ke sath.”

Phir main thoda shant ho ke bola, “mere dil

mein aaj bhi tumhare liye utna hi pyar hai, jitna

pehle tha. Main tumse bahut pyar karta hun, main

shayad tumhare bina nahi reh sakta, par tumhari

aise activity ke sath main tumhare sath bhi nahi

reh sakta. Aaj ke baad main tumhe koi phone ya

sms nahi karunga, jab mere liye tumhari dil mein

pehle jaisa khashiyat aur mohabaat mehsoos hogi

tab mujhe phone karna, warna aise dikhawe ke liye

please mat karna.”

Phir main wahan se uth kar chala aaya. Uske

baad na hi usse mila hun na hi baat kiya hun. Woh

bhi uske baad phone nahi ki.

Jab ek ladka haar maan jaata hai, uska matlab

nahi ki woh usse pyar nahi karta, bal ki isliye kyun

ki wo chot khate khate thak jata hai.

Page 47: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

46

Aur usse mehsoos hota hai ki woh ladki uski parwa

hi nahi karti.

“Zindegi aaj humein aise mukam par le aaya hai,

bas uski yaadein reh gayi hai. Aise to aur bahut se

chize hein paas, par wohi ek jeene ki wajah jo kho

gayi hai…”

“AJit”

Dhire dhire waqt guzarne laga, main apne taraf

se pura khamosh ho chuka tha, aur woh shayad

khush thi apne zindagi mein.

May ke mahine main sunne ko mila ki uski badi

behen Ranu ki shaadi hone wali hai woh bhi kisi

dusre ladke ke sath. Pata nahi kya ho raha tha sab,

uski behen Ranu 5 saal se zid kar ke baithi thi ki jis

ladke se woh pyar karti hein usse hi shaadi karengi

warna nahi karengi. Pata nahi sab kuch itne tez

badalne laga tha. Kuch to tha jo sahi nahi ho raha

tha.

Page 48: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

47

Waqt bhi apne raaste par chal raha tha, jo ki

mujhse meri sari khusi chin liya tha. 3 mahina ho

gaya hum dono ko alag hue, par mujhse to woh

December se hi door chali gayi thi. Lekin aaj bhi

sayed main wahin par khada tha.

Kabhi kabhi agar koi dost mujhe uske bare mein

puchte hein to mere paas koi jawab nahi hota tha.

“Zindegi me kabhi kabhi aise waqt aa jate hein, koi

agar beeta hua kal se kuch sawal puch le, to

humare paas uska jawab nahi hota, hum bas

khamosh reh jaate hain aur baat ko taal dete hein,

par dil me ek dard sa jaag uthta hai...”

“AJit”

Kaatne ke liye to mere aage ek lambi umr tha,

par najaane kyun main bas usi ke piche hi bhaagne

laga tha. Ek zindagi hai meri ye bhhol chukka tha.

Mera dost Samir mujhe humesha bolta tha, “jo

ho gaya sab bhool ke ek naye se shuruaat kar, kyun

Page 49: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

48

ke aise haath pe haath rakh ke kuch nahi milega

yaar, aur jo sab yaadein uski hein wo sab dheere

dheere mitt jayengi.”

Yehi soch kar zindegi ko aage le jaane ka socha,

Lekin main usse kaise samjhata jab kisi se iss tarah

ka pyar hota janha hum apne jism ruh se kisi se

mohabaat karte hain, wanha apni har angdai mein

bhi kisi ki aahat chupi hoti hai.

Wahan mujhe woh sari yaadein jaise khall rahi

thi. Kuch din baad mera office mein mera transfer

Lucknow se kisi aur city mein ho gaya. Main socha

acha hai, waise bhi yahan rahunga to uski yaadein

aur bhi jyada satayegi, so maine kahin door kisi aur

ek jahan chale jaana mere liye acha rehega iss baat

ko maan liya tha.

Mera dil se ek hi awaz aa raha tha, chal kahin

door jaate hain… Uske yaadon se door… apne

andar ki iss dard se door… mohabbat se door…

Phir main apne zindegi ke raaste ko mod kar is

jahan se door chala gaya. Aisi jagah, jo ek naya

seher tha, wahan ke log naye the aur shayad sab

Page 50: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

49

kuch naya lagta tha. Najaane kyun ab akele rehne

ki aadat si ban gayi thi.

Mera dil aaj bhi usse yeh keh raha tha, “ye baat

humesha yaad rakhna ki, bas tere hi khatir main

yahan jee raha hoon. Aur tum bas jahan bhi raho

mehfooz raho, main to bas yehi dua karunga

bhagban se. Par pata nahi tere bina main kaise Jee

paunga.”

Honton pe muskurahat lekar dil mein yehi

armaan saza rakha hoon ke, ek din tum mere liye

wapas aaogi, aur apni pyar mujhe wapas dogi, jo

bhi hawayein mujhe choon kar jaate hein, main to

aaj bhi unhi mein tumhari ehsaas ko mehsoos karta

hun. Tum yanha nahi ho sakti ho, lekin yanha

tumhare yaad ko chor ke sach mein mere pass aur

kuch nahi hai. Ek zindagi toh hai mere pass par

zinda nahi hun main…

Main to bas tumhari hi intezar kar raha hun…

Page 51: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

50

ACT: V

5 Months Later:-

Oh nooo, kya yeh sapna tha..??? phir se ek sapna

toot gaya…

25 november 2012. Subha main 8 baje utha.

Uthte hi mujhe shruti ki yaad bahut satane laga,

raat ko maine usi ki sapna dekha tha ke shruti

mere paas laut aayi he aur nind khulte hi jaise

sapne ke sath sath mera dil bhi toot sa gaya.

Meri aankhein to kain raaton se usi ke intezar

mein jaagi he, aaj bhi mujhe bas usi ki kami nazar

aa rahi hai.

Main to tumhe har ghadi har sapne mein paata

hun, phir bhi najaane kyun aaj tumse juda hun...

Par najaane kyun aaj dil se ek alag sa awaz aa

raha hai, Jaise wo mujhe bula rahi thi, jaise wo

mujhe awaaz de rahi thi, jaise ye subha subha ka

Page 52: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

51

sapna koi sapna nahi sach hai. Sunday ka din hai,

mera office bhi aaj chutti hai, Bangalore pe aaj

subah ka mausam bhi badhiya hai, to main chair pe

beth kar chai pii raha tha, par iss mausam ne

najaane kyun aaj shruti ki kuch jyada hi yaad dila

rahi thi.

Mere paas ab uski bas ek hi photo hai, jo mere

dost Avinash ne ek khas mauke par humara yeh

photo khincha tha, maine to sab photo usse wapas

de diya tha, par bahut din baad Avinash se puchne

par woh bola ki haan uske E-mail pe sayed woh

photo hai, phir usne mujhe woh photo diya tha.

Ab to jo bhi hai bas yehi hai, us photo ko nikala

aur aaj bahut dino ke baad main shruti ki photo

dekha, achanak aisa mehsoos hua ke jaise shruti

mere aur aa rehi hai.

Main jhat se chair se uth ke khidki se bahar ke

taraf dekhne laga, phir socha sayed ye sab mera

behem hai.

Waise bhi purani yaadein jab yaad aate hein to

dimag bhi apne bas mein nahi rehta.

Page 53: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

52

Dil gumsum sa ho gaya, kuch bhi acha nahi lag

raha tha.

“Kabhi kabhi iss dil ko naajaane kya ho jata hai,

achanak se dil gumshum sa ho jata hai, duniya ke

har chizen bewajah lagne lagta hai, zindegi jaise

fikii si lagne lagta hai…”

“AJit”

Maine socha kuch der bahar ja ke ghum aata

hun, suhana mausam hai, sayed thoda acha lagega,

so main tayar hone laga. Achanak se door ka bell

baja aur jab main ja ke door khola to main dang reh

gaya…

“Shrutiiii….”

Ye bolte huye kuch der ke liye mera muh khule

ka khula reh gaya, aur main bas bina palke

jhapkaye usse dekhta raha.

Page 54: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

53

Kuch der baad woh boli, “apna muh to band

karo, warna makhhi ghus jayega...”

Aur phir woh mera haath pakad ke andar chali

aayi. Tab tak mujhe pata nahi chal raha tha ke yeh

sapna he ke haqeeqat, pata nahi kya ho raha tha.

Woh boli, kuch bologe bhi ke aise hi dekhte

hehoge. Main to ekdum se shock ho gaya tha, mere

aankhon par mujhe biswas nahi ho raha tha, kahin

ye sapna to nahi tha. Main bas usse dekhta hi reh

gaya.

Phir woh achanak se roo padi, aur boli.

Shruti:-

I am sorry Ajay, main jaanti hun maine tumhe

bahut dard di hai, aur jitne sorry bolne par bhi woh

dard kam nahi ho sakte, par please mujhse naraj

mat ho, aur mujhse baat karo, main tumhe phir

kabhi bhi chor ke nahi jaungi, promise…

Pata nahi Ajay mujhe kya ho gayi thi, par main

bas tumhare khusi chahti thi. Main us waqt

tumhare sath najaane kya kya harkat kar baithi.

Page 55: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

54

Karib ek saal ho gaya hai, tumhe pata nahi hai

Ajay, ke main kaisi apni dil pe pathar rakh di thi

bas tumhare bare mein soch ke.

Actually humare ghar mein sab ko humare

rishte ke bare mein pata chal gaya tha, aur chacha

jee ne mujhe dhamkake bole ke woh unke kuch

logon ko mere upar dhyan rakhne ko kehenge aur

agar main tumhare sath phir se milunga to woh sab

tumhe maar dalenge.

Main bahot dar gayi thi, kya karun kuch samajh

nahi aa raha tha mujhe. Phir mummy bhi boli,

“agar tum us ladke ka bhala chahti ho to usse bhool

jao.”

So majburan mujhe ye sab karna pada, taa ki

tum mujhe nafrat karo aur mujhse door ho jao.

Agar tumhe ye baat bhi batati toh tum kabhi nahi

mante, mujhe pata hai tum mujhse kitna pyar

karte ho. Lekin main tumhare sath meri wazah se

kuch galat hote hue nahi dekh sakti thi. Bahut din

ke baad mujhe ehsaas hui ki tumhare bina meri

zindegi ki bhi koi ehmiyat nahi hai. Maine tumhara

Page 56: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

55

dil bohot dukhaya hai par main tumhare bina nahi

jee sakti.

Tumhara wo pyar mujhe bahut tadpane lagi,

phir maine tumhe wahan pe bahut dhundne lagi,

par kahin se kuch pata nahi chala tum kahan ho,

kya kar rehe ho, tumhara number bhi not in service

aa raha tha.

Phir Lalit se 3 din pehle Lucknow mein achanak

se mulaqat hui, usse bahut puchne par woh

tumhare bare mein bola aur ye bhi ki tum yahan

Bangalore mein ho. Phir usse tumhara address li,

aur usse bola ki tumhe mere bare me kuch na bole.

Main tumhe seedha aa ke milna chahti thi. Main

tumhe aur dukhi nahi dekh sakti, please mujhe

apne duniya me wapas le jao. Mujhe bhi le jao iss

duniya se door apne sath kisi aur duniya main

janha humari khushiyaan chinne wala koi na ho.

Ajay:-

Uff, Mere aankhon mein bhi jaise aansu aa gaye,

main bola, “kyun mujhe chor ke door chale gaye,

tumhe pata thi na ki main tumhare bina nahi jee

Page 57: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

56

sakta. Bahut tadpayi he tumne mujhe, ab phir

kabhi mujhe chor ke nahi jaogi na ?”

Woh bhi rote hue boli, “kabhi bhi nahi.”

Bahut dinon ke baad jaise mere chehre par

khusiyon ka leher tha, uske chehre par bhi halke se

muskurahat najar aane lagi.

Tum mil gaye, mere zindegi ko jaise aaj sukoon

mil gaya. Tumhari iss hansi ko main dhund raha

tha, ab tum jo aa gaye mujhe woh sara khusi mill

gaya. Tumhare bina yeh dil jaise gam se bhar gaya

tha. Barson se main thak chuka hun bas tumhare

aane ke intejar karte karte. Tumhare bina to main

har pal bas khamosh rehta tha.

Ab jo tum mil gaye ho to aisa lag raha he jaise

mujhe sab kuch haasil ho gaya. Mera zindegi ka

rashta jaise muskilon se bhar gaya tha, Inn sahilon

ko jaise aaj kinara mil gaya. Kyun ke iss dil ka

dhadkan to tumhi mein basa tha, mujhe toh aaj

jaise apna jaan hi mil gaya…

Page 58: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

57

Phir woh boli, “pata he Ranu didi ki shaadi ho

gayi he, najaane woh bhi kaise ghar waale ke

baaton par raaji ho ke unke pasand ke ladke se

shaadi kar li. Par 3 mahine tak sab kuch thik tha,

phir pata chala ki jiju ke kisi aur ladki ke sath avi

bhi Affair he aur phir ye baat pata chalte hi Ranu

didi ghar wapas chali aayi…”

Main bola, “kya mila, aise mein koi bhi khush

nahi reh paaye, kitno ki zindegi barbaad ho gayi…”

Phir woh boli, “mujhe humesha ke liye apna

banalo, aur intezar nahi hota, chalo hum shaadi kar

lete hain.”

Bas aur kya, mere sare sapne to sach hone lage

the, jaise ek andhere raat ke baad subah ka suraj ki

roshni charon aur khilne lagi thi. Murjhaye hue

saare phhol wapas iss bag mein khilne lage.

Phir main apne ghar walon aur friends ko turant

bula liya aur 30 november ko humari shaadi ho

gayi. Shaadi ke din mere 3 dost bhi aaye the.

Avinash ne humein wish kiya aur ek badhiya

baat bola, “humesha ye baat yaad rakhna…

Page 59: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

58

Ek rishtey Main sabse bada dikkat hota hai ek

ladka aur ek ladki ka soch. Kyun ki dono ki soch

humesha ek jaise nahi ho sakte, lekin ladkiyaan

ladkon se unhe samjhane ki ummid karti hain

janha ladka uske jagah wo hi ummid lagaye baith

ta hai. Jab koi parishani suru hoti hai toh, har waqt

main kyun samjhun? ye baat apne dimag mein aati

hai.. tab suru hoti hai nok jhok. Sabse jyada rishtey

bebazah toot jaate bas yahi soch ke antar ke bazah

se.. Sochna kuch nahi bas ek ladka aur ek ladki ki

soch thode alag hote hain, dono ki zarooratein,

ummidein, halatein alag hoti hain.. Bas ek ladka

aur ek ladki ek dusre ke bicharon ke antar ko

samajh ke unke sath khade rahe aur apna farz

nibhaye toh kabhi bhi ek rishta kamjor nahi

padega.”

Shruti ko ye baat bahut pasand aayi.

Phir shaadi ke baad hum dono Bangalore pe hin

settle ho gaye.

“Lucky to have the best partner to spend my life

with you Shruti…”

Page 60: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

59

“Yeh zindegi bhi hume bahut se surprises deta

rehta hai, kabhi kabhi ye iss jahan bhar ka

khusiyan bhar deta he to kabhi kabhi duniya bhar

ka gamm, yehi toh zindegi hai jisse aaj tak koi nahi

samajh paya…”

“AJit”

Yeh dil aaj kisi tarah bas tera sukriya adaa

karne chahta hai, tera ye ehsan main kabhi nahi

bhulunga. Maine to kabhi pyar ko samjha hi nahi

paya tha, par tum aake jaise iski paribhaasha hi

sikha diye, Apne wazood ko dhoondna kya hota ye

mujhe tumse mohabbat karke pata chala. Tujhe paa

ke aaj main jaise duniya ki sabse badi daulat pa

liya hai. Ab mujhe kuch nahi chahiye Bas Tum Ho

Toh Zindagi Hai…

Bas itni si hai ye kahani…

Page 61: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

60

AJit :

Zindegi aisa hi hai, kabhi bhi kisi ko bhi

surprise deta rehta he. Zindegi mein bahut se bure

waqt aate hein. Kyun ke musibaten kabhi puch ke

nahi aati hai, aur inn bure waqt se nikalna bahut

muskil hota hai. Par hume haar na mankar bas

himmat dikhana padta hai. Log to aashani se bol

dete hein par jo inn raaston ko paar kar ke aaye

hein, woh hi mehsus kar sakte hein iss dard ko.

Humesha ek baat yaad rakho, yehi bure waqt

humein majboot banata hai, jab hum akele iska

samna karte hein, aur phir dhire dhire ek din waqt

bhi humare aage jhuk jata he.

“Khusiyon ke bina kya he zindegi.

Agar gam na ho, to kya he zindegi.

Inhi khusi aur gamon ka jo mitha sa dard hota he,

isi ka naam he zindegi…”

“AJit”

Page 62: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

61

Yeh duniya pyar ke bina jaise adhoora sa he. So

duniya mein sabhi ko bahut sara pyar do, apne

jeevan saathi, friends, family, sabko. Aur dekhna

badle mein apko bhi dher sara pyar milega. Kyun

ke iss pyar ke bina zindegi jaise khali sa, adhura sa

aur suna sa hai. Aur pyar humari zindegi ko

khusiyon se bhar deta hai aur khubsoorat bana

deta hai…

“Love Makes Life Beautiful…”

A Story By

“AJ”

Page 63: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

62

Thank you, dear readers…

If like this story, than share it with your friends &

family.

Special Thanks To:-

One of my little sister Miss. Suchismita Sahoo.

&

My friend the best editor and multi-tallented Mr.

Abhisek Jena, who remains the first reader and

editor of my story…

&

To my family and friends.

Cover photo :- My little Bhaanji Miss. Ritika Sahoo

Page 64: Love makes life beautiful (hindi)- A story by AJit Sahoo

63

Story, Quotes & Designing :-

AJit Kumar Sahoo

Editting :- Abhisek Jena

Send your feedbacks at:-

[email protected]

Date:- 19th December 2015

END