Juz 4 (Question And Answers) - livequraneverymoment.org · Wo Qaum Falah Pa Sakti Hai Jo Apne Nabi...

14
www.livequraneverymoment.org Juz 4 (Question And Answers)_

Transcript of Juz 4 (Question And Answers) - livequraneverymoment.org · Wo Qaum Falah Pa Sakti Hai Jo Apne Nabi...

www.livequraneverymoment.org

Juz 4 (Question And Answers)_

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 2

Questions & Answers -Juz 4 – Aal Imran- Ayah 92-125

Q1) Ayat 92- Kis Cheez Ko Kharch Karne Ka Hukum Hai? Kharch Karne Waali Cheezo Me Kya Kya Aayega?

A) Woh Cheez Jisse Hume Muhabbat Hai – Apne Liye Jo Pasand Karte.Maal Ke Alawa, Ilm, Ghar Ki Cheezen,Waqt, Zewarat, Mehnat,Kapda Aur Sab Kuch – Jaan Aur Aulad Bhi.

Q2) 92 - Is Ayat Ko Padh Kar Sahaba Akram Ne Kya Kiya?

A) Abu Talha Ne Bairoha Naam Ke Sabse Oomdah Baagh Allah Ki Raah Me De Diya. Hazrat

Umar Nay Khaibar Ki Zameen Di,Jisme Se Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Ne Zameen Ko Waqf Kar Diya –

Asal Na Do –Phal De Do. Zaid Bin Harisa Ne Apna Ghoda De Diya Jise Mohammed ملسو هيلع هللا ىلص Ne Usama Bin Zaid Ko Diya

Q3) Sach-Chaayi Neki Neki Jannat Ki Taraf Le Jaati Hai (Yaha Tak Ke Tum Sachay Likh Diya Jate Ho). Aur Jhooth Burai Jahannam Ki Tarf(Yaha Tak Ki Tum Jhoothe Likh Diya Jaate Ho.

Q4) Yahoodiyon Ke Yahan Kya Cheez Haraam Thi Aur Kyun?

A) Oont Ka Gosht Aur Uska Doodh, Yaqoob(As) Ki Bimaari Ki Wajah Se Unhone Khud Se Rokha Tha(Bature Parhez). Kuch Cheeze Allah Ne Unke Nafarmaniya Ki Wajah Se Haram Kiya Tha Jaise Sabt Ke Din Kaam Karna. Taurat Main Unke Liye Oont Ka Gosht Aur Uska Doodh Haram Nahi Hai.

Q5) Aayaate Kauniyya Aur Shariyya Kya Hai?

A) Kauniyya – Jisme Qayamat Ki Nishaniyon Ka Zikr Hai- (Suraj, Chand, Badal, Barish).

Shariyya – Jisme Shariah Ahkamat Hai- Quran E Pak.

Q6) Duniya Me Sabse Pehli Masjid Kaunsi Hai? Uski Sabse Pehle Kisne Tameer Kisne Ki?

A) Sabse Pehli Masjid Baitullah Hai. Uski Sabse Pehle Farishto Ne Tameer Ki.

Q7) Baitullah Aur Masjide Aqsa Ki Tameer Me Kitne Arse Ka Farq Ha? Masijide Aqsa Ki Tameer Insaano Me Se Kisne Ki?

A) Baitullah Aur Masjide Aqsa Ki Tameer Me 40 Years Ka Farq Hai. Masjide Aqsa Ki Tameer Ibrahim(As) Ne Aur Baad Me Sulaiman(As) Ne Ki.

Q8) Baitullah Ki Tameer Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Farishto Ne Ki – Adam(As) Ke 2000 Saal Pehle

1- Adam(As) 2- Sheesh(As) 3- Ibrahim(As) 4- Amaliqa 5- Banu Jurham 6- Quraish

7- Qusai Ibn Qilab 8- Muhammed(ملسو هيلع هللا ىلص)(Hajre Aswad )

9- Abdullah Bin Zubair 10- Hajjaj Bin Yusuf 11- Sultan Bin Mohammed(Turkey).

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Q9) Baitul Mamoor Kya Hai? Iske Baare Main Aap Kya Jante Hai?

A) Baitul Mamoor Farishto Ki Ibadatgah Hai Jisme Roz 70,000 Farishte Tawaf Kartey Hai. Kisi Farishte Ko Dobara Mauqa Nahi Milta. Ye Ain Baitullah Ke Upar Hai Aasman Me Hai.

Q10) Makkah Shahar Me Kaun Kaunsi Khuli Nishaniyan Hai?Kuch Ka Zikr Kariye.

A) Maqame Ibrahim, Hajre Aswad, Zamzam, Safa Marwah, Rukne Yamani. Aur Ek Nishaani Yeh Hai Ki Koi Aaj Tak Baitullah Ko Barbad Nahi Kar Saka.

Q11) Taurat, Injeel Aur Zubur Me Makkah Shehar Bakkah Ke Naam Se Hai.

Q12) Ahadees Ke Mutabik Makkah Shahar Me Kya Kya Cheezen Karne Se Mana Hai?

A) Darakh Katna, Kantedaar Darakht Ukhadna, Giri Huyi Cheez Uthana Jab Tak Uske Malik Ka Pata Na Ho. Jidal(Argue /Jhagda), Qital(Jung) Aur Shikar Mana Hai. Makkah Me Hathyar Uthakar Nahi Phir Sakte.

Q13) Fareezaye Hajj Ki Istetaat Ke Kya Sharait Hai?

A) Musalman, Baaligh, Aaqil, Istatat – Maali Aur Jismani Istatat, Aurat Ke Liye Mehram, Raasta Puraman Ho.

Q14) Istetaat Rakhtey Huye Hajj Naa Karne Wale Ke Liye Mohammad(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Kya Farmaya?

A) Hadith – Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Farmaya Jo Istatat Ke Bawajood Hajj Nahi Karte Wo Chahe Yahud Ho Chahe Nasara, Allah Ko Koi Farq Nahi.

Q15) Ahle Kitaab Musalmaanon Ko deen Se Kaise Rokte?

A) Deen Me Tedapan Talash Karte, Aitraaz Karte, Shak O Shuba Dalte, Subah Iman Laate Aur Sham Ko Phir Jaate – Aib Talash Karte.

Q16) Agar Musalmaan Ahle Kitab Ki Pairvi Karenge To Wo Hamara Haal Kya Karenge? Maujooda Halaat Par Is Zariye Raushni Daaliye.

A). Wo Hame Apne Iman Se Pher Denge. Hum Unki Pairvi Karte Par Wo Hamari Nahi Karenge. Hum Sunnt Se Phir Jaate(Dadhi Rakhna Aur Hijab), Acchey Aur Bure Me Farq Nahi Mahsoos Karte. Unki Chaal Chalne Ki Koshish Karte.

Q17) Allah Taala Se Darne Ka Haq Kaise Ada Hoga?

A) Abdullah Bin Masood – Allah Ki Itat Ki Jaye- Nafarmani Na Ki Jaye, Allah Ka Zikr Kiya Jaye Aur Usko Bhulaya Na Jaye, Allah Ka Shukr Kiya Jaye – Na Shukri Na Ki Jaye.

Q18) Allah Ke Dar Se Ya Taqwa Sa Hame Kin Kin Kaamo Sa Parhez Karna Hai ?

A) Shirk Aur Kufr Se, Kabeerah Gunah, Har Wo Cheez Jo Allah Aur Uske Rasool Ke Pass Napasand Hai, Kabeerah Ho Ya Sagheera Jisme Shak Hai.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Q19) Na Tum Marna Is Haal Me Ke Tum Momin Na Ho – Se Aap Kya Samjhe?

A) Har Waqt Iman Ke Haal Me Rahna – Maloom Nahi Kis Waqt Maut Aa Jaye.

Q20) Ayat 103 - Me Hablillah Kya Hai ?

A) Quran.

Q21) Ayat 102 – Me Allah Ki Kaunsi Nemat Hai ?

A) Deen E Islam – Aman, Dosti, Mohabbat.

Q22) Kaunse Log Kamyaab Hai?

A) Wohi Log Kamyaab Hai Jo Khair Ki Taraf Bulate Hai, Maroof Neki Ki Taraf Bulate Hai Aur Jo Burai Se Rokte Hai.

Q23) Salaam Ke Bare Me Ek Hadees Likhiye.

A) Hadith – Khuda Ki Qasam Tum Jab Tak Jannat Me Nahi Ja Sakte Jab Tak Tum Mumin Na Ho. Tum Mumin Ho Nahi Sakte Jab Tak Tum Ek Doosre Se Mohabbat Na Karo. Kya Main Wo Tareeqa Na Bataoo Jisse Aapas Me Mohabbat Ho – Aapas Mein Kasrat Se Salaam Kiya Karo.

Q24) Allah Ko Kaunsi 3 Batein Pasand Hai Aur Kaunsi 3 Naapasand?

A) Allah Ko Pasand

1) Allah Ki Ibadat Karna Kisi Ko Shareeq Na Banana.

2) Sab Ke Sab Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Pakadhna.

3) Allah Jise Tumhara Hakim Bana De Uski Khairkhahi Karna.

Allah Ko Napasand

1) Bekar Behas.

2) Maal Barbaad.

3) Kasrat Se Sawal.

Q25) Tafreeqa Baazi Par Hadees Likhiye

A) Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Farmaya – anqareeb Meri Ummat 73 Firqo Me Bat Jayegi Aur 72 Firqe Jahannum Me Jayege Siwaye Ek Firqe Ke Jo Jannati Honga. Sahaba Ne Poocha – Wo Kaunsa Firqa Hoga? Aapne Kaha – Wo Firqa Jo Allah Ki Quran Aur Meri Sunnat Ki Pairvi Karega.

Q26) Kinke Chehre Syah Aur Kinke Safed Honge?

A) Iman Walo Ke Chehre Jinki Dil Duniya Me Saaf Aur Raushan Hai, Unke Chehre Qayamat Ke Din Safed Honge. Jinhone Tafreeqbazi Ki Aur Kufr Kiya Unke Chehre Syah Honge.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 5

Q27) Behtareen Ummat Kaunsi Hai Aur Uski Zimmedariyan Kaunsi Hai?

A) Behtareen Ummat – Ummate Muhammadi Hai Jo Nikali Gayi Hai Logo Ke Liye Jo Hukm Dete Hai Neki Ki Ka Aur Rokte Hai Burai Se Aur Iman Late Hai Allah Par.

Q28) Kis Par Zillat Hai Aur Kyun?

A) Ahle Kitab(Yahud) Par Zillat Hai Kyuki Unhone Allah Ki Ayato Ka Kufr Kiya Aur Unhone Qatl Kiya Nabiyon Ka Nahaq.

Q29) Kya Saare Ahle Kitab Had Se Guzarne Waale Hote Hai?

A) Nahi, Ahle Kitab Me Se Ek Jamat Hai Jo Qaim Hai Haq Par- Wo Tilawat Karte Hai Allah Ki Aayato Ka Raat Ki Ghadiyo Me Aur Wo Sajda Kartey Hai.

Q30) Baghair Iman Ke Kharch Karna Kaisa Hai ?

A) Baghair Iman Kharch Karna Us Hawa Ki Tarah Hai Jismi Ya To Shadeed Thandak Hai Ya Phir Shadeed Garmi Ho – Jab Wo Pahunchti Hai Kheti Ko Jo Use Jala Deti Hai.

Q31) Ghair Musalmaano Se Dili- Taal lukh Rakhne Se Kyun Mana Kiya Jaa Raha Hai ?

A) Deen Me Rukawat/ Kharabi – Kyuki Wo Hamesha Irada Rakhte Hai Musalmano Ki Kharabi Ka – Deen Me Rukawat. Unke Seeno Me Hamesha Musalmano Ke Liye Bughz Hai.

Q32) Ayat 119-120 – Ghair Musalmano Ka Musalmano Ke Saath Kaisa Rawaiya Raha ?

A) Jab Koi Bhalai Pahunchti Hai Musalmano Ko To Wo Buri Lagti Hai Unko Aur Jab Pahunchti Hai Unko Burai To Wo Khush Hote Hai.

Q33) Subah Sawere Kaun Kis Cheez Ke Liye Nikal Raha Hai ?

A) Subah Sawere Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Jung-E – Uhud Ke Liye Nikal Rahe Hai.

Q34) Ayat 122- Kiske Barare Me Hai ?

A) Banu Salima(Aws) Aur Banu Haarisa(Khazraj) Ke Baare Me Hai.

Q35) Allah Ki Madad Kab Aayegi?

A) Sabr Aue Taqwa – Se Aayegi.

Q36) Jange Uhad Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Jung –E – Uhad 3 Hijri (12 Shawwal) Ko Huyi Thi. Jung –E – Badr Ke 1 Saal Baad – Jisme

700 Musalman The Aur 3000 Kafir The. Rasool Allah(ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Baat Na Mankar Musalmano Ne Maal E Ghanimat Ke Liye Apni Positions Chod Diye Jiski Wajah Se Unki Shikast Huyi. Jaan Aur Maal Ka Bahut Nuqsan Hua.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 6

Q37) Maroof Kasi Neki Hai?

A) Maroof – Jaani Pehchani Neki Hai.

Q38) Nahi Anil Munkar – Ke Baare Me Likhiye.

A) Har Qism Ki Burai se Rokna

Questions & Answers -Juz 4 – Aal Imran- Ayath 126-164

Q1) Ayat 126 Me Allah Taala Kis Cheez Ki Khush Khabri De Rahe Hai Aur Kyun?

A) Is Ayat Me Allah Taala Jung E Badr Me Jo Kamyabi Huyi Musalmano Ko Farishto Ki Madad Se – Uski Khushkhabri De Rahe Hai Taki Unke Dil Mutmain Ho Jaye. Sabr Aye Taqwa Ho To Allah Ki Madad Aayegi.

Q2) Jange Badr Me Allah Taala Ne Ashabe Badr Ki Kaise Madad Ki? Ashabe Badr Ka Kya Mukaam Hai?

A) Jung E Badr Me Allah Taala Ne Ashabe Badr Ko Farishto Ke Saath Madad Ki. Ashabe Badr Ke Musalmaan Tamam Musalmano Se Afzal Hai Aur Jin Farishto Ne Madad Ki Wo Tamam Farishto Se Afzal Hai.

Q3) Asal Madad Allah Ki Madad Hai.

Q4) Ayat 128- Ka Shaane Nuzool

A) Sahih Muslim – Hazrat Anas(Ra) Se Riwayat Hai – Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Kaha – Ya Allah Kaise Wo Qaum Falah Pa Sakti Hai Jo Apne Nabi Ka Sar Zakmi Kare, Dant Tod Diye – Wo To Sirf Logo Ko Allah Ki Taraf Bula Raha Tha, Jab Allah Yeh Aayat Nazil Karte Hai.

Q5) Ayat 127- Allah Ne Musalmano Ki Madad Kyun Ki?

A) Taake Allah Ek Giroh Ko Kaat de Unlogo Me Se Jinhone Kufr Kia.

Q6) Ayat 132, 133 - Agar Aap Chahte Hai Ki Aap Par Reham Ho To Kya Karna Chahiye?

A) Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Itat Karna Chahiye Aur Jaldi Karna Hai Uski Baqshish Ke Liye.

Q7) Hadees Ke Mutabikh Qayamat Ke Qareeb Sood, Zina Aur Sharab Ki Kasrath Ho Jayegi.

Q8) Ayat 133 - Jannat Ki Kya Tasweer Hai?

A) Uski Chaudhayi Aasmano Aur Zameen Ki Hai.

Q9) Ayat 135 – Muttaqiyon Ke Kya Sifat Batayi Gaye Hai?

A) Mutaqeen Wo Hai Jo Kharch Karte Hai Khushi Me Bhi Aur Tangi Me, Apne Ghusse Ko Pee Jaate Hai, Logo Ko Darguzar Karte Hai. Jab Wo Koi Behayayi Ya Zulm Karte Hai Apne Nafso Par To Fauran Allah Ko Yaad Karte Hai Aur Apne Gunaho Ki Baqshish Mangte Hai.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Q10) Kya Gussa Hona Achi Sifat Hai? Agar Aa Jaye Toh Kya Karna Chahiye?

A) Nahi Kyuki Ghussa Shaitaan Ki Taraf Se Hota Hai. Sabse Pehle – Audubillah Padhna Chahiye, Khamosh Ho Jana Chahiye, Wudu Kare,Apna Position Change Kare, Do Rakat Namaz Pade Aur Allah Se Maafi Mange. Ghauro Fiqr Kare Ki Kyu Gussa Aata Hai .Quran Ki Tilawat Se Bhi Gussa Khattam Ho Jaata Hai.

Q11) Jisne Gunah Se Tauba Kar Li Wo Kaisa Hai?

A) Jaise Usne Gunah Kiya Hi Nahi.

Q12) Ayat 137 - Me Kin Ka Zikr Hai?

A) Pehle Qaumo Ka Zikr Hai – Jo Qaume Peeche Guzar Chuki Thi Jinhone Allah Ke Aayato Ko Jhutlaya.

Q13) Ayat 139 - Buland Hone Ke Liye Kin Sifaat Ki Zaroorat Hai ?

A) Susti Na Karna( Himmat Na Haro) Na Gham Karna

Q14) Ayat 141,142 – Kin Kin Ko Kab Kab Zakhm Mile ? Allah Taala Dino Ko Logon Ke Darmiyan Kyun Pherta Hai?

A) Jung E Badr Me Kafiro Ko Aur Jung E Uhud Me Musalmano Ko Zakhm Mile The. Dino Ko Pherte Hai Allah Taala Take Wo Jaan Le Aur Khalis Kar Le Iman Walo Ko Aur Kafiro Ko Mita De.

Q15) Ayat 142 - Jannat Kab Tak Nahi Milegi?

A) Jab Tak Allah Unlogo Ko Na Jaan Le Jinhone Sabr Kiya Aur Jihad Kiya.

Q16) Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ke Bare Me Kis Aqeede Ki Wazahat Ho Rahi Hai ?

A) Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Allah Ke Bheje Huye Sirf Ek Rasool Hai Jaise Ke Pehle Ke Rasool The Aur Unpar Bhi Maut Wazeh Hai. Haq Sirf Allah Ki Zaat Hai Jo Baaki Hai.

Q17) Ayat 146 - Nabiyon Ke Saathiyon Ne Kya Kiya? Allah Kaise Insaano Se Mohabbat Karte Hai ?

A). Nabiyo Ke Saathiyo Ne Museebat Aane Par Na Susuti Dikhayi, Na Kamzori Aur Na Wo Dabe. Jo Sabr Karne Wale Hai Allah Aise Insaano Se Mohabbat Karte Hai.

Q18) Sabr Karnewaale Kya Dua Maangte Hai?

قدامنا و غفر ٱربنا مرنا وثب ت أ

افنا ف أ ناٱلا ذنوبنا إوس فرين ٱ لقوم ٱلع نص ١٤٧ لك

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 8

Q19) Ayat 149 - Agar Iman Waale Kafiron Ki Pairwi Karege To Kya Hoga? Is Ayat Me Kaafiron Ka Ishara Kis Ki Taraf Hai?

A) Agar Iman Wale Kafiron Ki Pairvi Karege To Wo Unko Iman Se Pher Denge. Is Ayat Me Kafiron Ka Ishara Munafiq Ki Taraf Hai – Jo Khasara Pane Wale Hai.

Q20) Hamara Maula Aur Madadgar Allah Hai.

Q21) Mushrik – Zalim Ka Thikana Aag Hai.

Q22) Ayat 152 - Jange Uhud Me Aur Aaj Kal Bhi Jo Musalmaano Ki Shikast Ho Rahi Hai Uska Sabab Kya Hai?

A) Buzdili, Jhadga, Allah Rasool Ki Nafarmani, Duniya Ki Aur Maal Ki Mohabbat – In Sab Ki Wajah Se Junge Uhud Me Aur Aaj Kal Bhi Musalmano Ko Shikast Ho Rahi Hai.

Q23) Fatah Aur Shikast Ke Baare Me Momin Ka Kya Yakeen Hona Chahiye?

A) Momin Ko Apni Tayyari Kar Lena Chahiye Aur Phir Allah Par Tawakkal. Shikast Aur Fatah Sirf Allah Ke Haath Me Hai.

Q24) Mushkil Waqt Me Ghar Par Baithne Se Kya Maut Se Bacha Ja Sakta Hai?

A) Nahi, Maut Se Koi Nahi Bach Sakta. Maut Ki Jagah Aur Waqt Muqarrar Hai. Har Nafs Ko Maut Ka Maza Chakhna Hai.

Q25) Allah Taala Kis Ko Maaf Kar Rahe Hai Aur Kyun?

A) Junge Uhud Me Jin Musalmano Ki Wajah Se Shikast Hui Thi Jinhone Apni Jagah Chod Di Thi – Allah Taala In Logo Ko Maaf Kar Rahe Hai.

Q26) Kaafir yaha Log Kaun Hai Aur Wo Kya Kehte Hai?

A) Kafir Munafiq Hai – Wo Na Haq Batein Karte Jaise – Agar Jo Shaheed Jue Wo Naa Jate Jang Par To Nahi Maare Jate( Qatl Na Hota), Allah Ka Wada Saacha Na Tha, Allah Ki Madad Nahi Aayi Aur Yeh Kehte Hai Ke Islam Ka Mustaqbil Achcha Nahi Hai.

Q27) Kaash Kehna Shaitan Ka Darwaaza Khol Deta Hai.

Q28) Allah Ki Kis Rehmat Ka Zikr Hai. Agar Ye Rehmat Naa Hoti To Kya Hota?

A) Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Raham Dil Hai – Wo Sang Dil Ya Tundkhu Nahi Hai- Agar Aisa Hota Toh Unki Ummat Unse Door Chali Jaati.

Q29) Ayat 159 – Me Tableeq Karne Ka Kaisa Tareeqa Sikhaya Jaa Raha Hai?

A) Tableeq Karne Walo Ka Dil Narm Hona Chahiye, Logo Ki Baato Ko Darguzar Karna, Baqshish Kar Dena, Mamlo Me Mashwara Karna. Apni Taraf Se Poori Tayyari Kar Lena Aur Phir Allah Par Tawakkal Karna.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 9

Q30) Kisi Bhi Mamle Ko Karne Ka Kya Tareeka Hona Chahiye?

A) Kisi Bhi Maamle Ko Karne Ka Tareeqa Ye Hona Chahiye Ki Apni Poori Tayyari Kar Lo Aur Phir Allah Par Tawakkal Karo.

Q31) Amanat Me Khayanat Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Qayamat Ke Din Wohi Khayanat Uske Khande Par Sawar Hogi.

Q32) Kaun Barabar Nahi Ho Sakte?

A) Jo Allah Ki Raza Ki Pairvi Karne Wale Hai Aur Jo Allah Koi Nafarmani Se Allah Ki Narazgi Haasil Karte Hai – Dono Barabar Nahi Ho Sakte.

Q33) Allah Ka Kaunsa Ehsan Hai? Kaise?

A) Allah Ka Yeh Ahsan Hai Ki Usne Hamme Se Ek Rasool Bheja Jo Allah Ki Aayato Ko Padhta Hai Aur Tazkiya E Nafs Karta Hai, Allah Ki Kitab Aur Hikmat Ki Taleem Deta Hai.

Q34) Jange Uhud Me Allah Ke Izn Se Shikast Huyi, Kyun?

A) Allah Mumino Ko Aazmakar Khalis Karna Chahta Tha. Unki Shikast Musalmano Ki Hi Kamzori Thi – Maal Ki Mohabbat, ImamKi Nafarmani. Allah Unko Sabakh Dena Chahte The.

Q35) Agar Kisi Se Koi Galti Ho Jaaye Toh Use Kya Karna Chahiye?

A) Allah Ka Zikr Karna, Apni Galti Ya Gunah Ke Liye Baqshish Mangna Aur Us Galti Ka Israr Na Karna(Repeat Na Karna).

Q36) Jange Uhud Se Aapko Kya Sabak Mila?

A) Apne Leader Ya Rasool Ki Itat Farz Hai, Maal Ki Mohabbat Manzil Se Hatati Hai – Aazmaish Ke Bina Jannat Namumkin Hai, Har Haal Me Sabr Aur Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Itat Karna, Kisi Ko Halakat Ki Baddua Na Dena.

Q37) Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Waafat Ki Tareekh Monday 12, Rabbi Al Awwal,

11 Hijri.

Q38) Jab Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ka Inteqal Hua To Hazrat Umar(Ra) Ne Kya Kiya Aur Hazrat Abu Bakr(Ra) Ne Kya Kiya?

A) Hazrat Umar(RA) Bahut Ghusse Me Aagaye Aur Sab Se Kaha Ki Koi Na Kahe Ki

Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ka Inteqal Hua. Hazrat Abu Bakr Ne Ayat 144 Padhi.

Q39) Jange Uhud Me Sahaba Par Kaun Kaunse Gham Toote?

A) Junge Uhud Me Unki Shikast Huyi, Madina Ke 70 Bahtareen Sahabah Shaheed Ho Gaye.

Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Zakhmi Ho Gaye Aur Unke Inteqaal Hone Ki Jhoothi Khabar Phail Gayi.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Q40) Jang Aur Ghazwa Me Kya Farq Hai?

A) Jis Jung Me Rasool Allah(ملسو هيلع هللا ىلص) Khud Shareek Huye The, Us Jung Ko Ghazwa Kahte Hai. 7 Jungo Me Aap Ne Hissa Liya Tha – Badr Aur Uhud Ko Milakar.

Q41) Kya Aurtein Jang Me Hissa Le Sakti Hai? Wazahat Kariye

A) Ha, Aurtein Jung Me Hissa Le Sakti Hai – Jab Jung Me Mardo Ki Tadaad Kum Ho To.

Q42) Tauraat Aur Injeel Me Mohammed(ملسو هيلع هللا ىلص) Ki Kin Sifat Ka Zikr Hai?

A) Ki Wo Badaqlaq Na Honge, Sangdil Na Honge, Bazaro Me Shor Nahi Karege, Burai Ka Badla Burai Se Na Denge – Darguzar Karne Wale Aur Maaf Karne Waale Honge.

Questions & Answers -Juz 4 – Aal Imran- Ayath 165-198

Q1) Ayat 167 -168 Munafiq Kis Tarah Ke Bahane Banate Jab Unhe Jang Par Bulaya Jaata. Logon Se Wo Kaisi Baatein Karte?

A) Agar Hum Jang Karna Jaante To Zaroor Aate(Jab Unka Mashwara Nahi Mana Jaata To Tanziya Taur Par Kahte). Aur Jo Jang Par Maaare Gaye Ya Jo Jaakar Nuqsan Uthate Hai Unse Kehte Ki Agar Wo Unke Saath Ruk Jaate To Na Mare Jaate.

Q2) Ayat 160,170,171 – Jo Log Allah Ki Raah Me Shaheed Hote Hai Allah Unke Saath Kya Mamla Karte Hai?

A) Wo Allah Ke Paas Rizq Diye Jaate Hai, Allah Unko Jo Fazl Ata Karte Hai Use Khush Hao, Unhe Unke Pichle Jo Duniya Me Rah Gaye Hai, Unse Milney Ki Khushkhabri Dee Jati Hai. Hadees Ke Mutabikh – Unki Roohein Allah Ke Arsh Ke Neeche Sabz Parindo Ki Shakl Me Hote Hai, Jab Dil Karta Hai Jannat Ki Sair Karte Hai Aur Phir Laut Kar Aate Hai.

Q3) Ayat 172 – Kaun Log Kis Waqt Labbaik Keh Rahe Hai?

A) Jang E Uhud Ke Doosre Din Jab Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Dobara Sahaba Akram Ko Dushman Se Muqable Ke Liye Bulaya To Zakhmi Kamzor Aur Ghamgeen Hone Ke Bawajood Unlogo Ne Labbaik Kaha.

Q4) Shaheed Ko Marte Huye Kitni Taqleef Hoti Hai? Hadees Ki Roshni Se Likhiye?

A) Rasool(ملسو هيلع هللا ىلص) – Shaheed Ko Maut Ke Waqt Sirf Itni Hi Takleef Hoti Hai Jitni Tumme Se Kisi Ek Ko Cheenti Ke Kaatne Par Hoti Hai.

Q5) Khauf Ke Waqt Kya Padhnaa Chahiye ?

ٱحسبنا (A ١٧٣ لوكيل ٱونعم لل

Kaafi Hai Humko Allah Aur Ktna Achcha Karsaz Hai

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 11

Q6) Ayat 174 – Kinke Palatne Ki Baat Ho Rahi Hai?

A) Doosre Din Jo Log Dobara Dushman Ke Muqable Ke Liye Gaye, Woh Log Aman Ke Saath Bina Jang Kiye Laut Aaye.

Q7) Ayat 175 – Me Shaytaan Aur Unke Saathiyon Se Kya Muraad Hai?

A) Kaafir(Kuffar) Ke Sardar Aur Unke Saathi – Jaise Abu Sufyan Aur Unke Saathi.

Q8) Ayat 178- Allah Kaafiron Ko Kyun Dheel De Rahe Hai?

A)Taake Wo Apni Gumrahi Me Badh Jaye Aur Unke Liye Ruswaa Karne Wala Azaab Hai.

Q9) Ayat 177- Isme Iman Dekar Kufr Ko Lena Kya Hai?

A)Munafiqeen – Jaise Abdullah Bin Ubay Aur Unke Saathi Samajh Rahe They Ki Laut Kar Unhone Aqal Mandi Ka Kaam Kiya. Yeh Amal Kufr Hai.

Q10) Ilm Ko Seekhna Aur Sikhana Ke Oopar Siwaye Naboowat Ka Koi Darja Nahi.

Q11) Ayat 179 – Me Khabees Aur Tayyab Se Kya Muraad Hai?

A) Momim Aur Munafiq.

Q12) Ayat 180 – Baqeel Ka Hashr Hoga?

A) Qayamat Ke Din Wo Maal Ka Tauq Pahnaya Jayega Jis Maal Par Usne Buql Kiya..

Q13) Ayat 181 – Kaun Log Khud Ko Ghani Aur Kis Ko Faqeer Keh Rahe Hai?

A) Yahud Aur Kafir Khud Ko Ghani Aur Allah Ko Faqeer- Kyun Allak Uski Raah Me Kharch Karne Ko Kah Rahe Hai.

Q14) Ayat 183 – Rasool Par Iman Na Laane Ki Wajah Bata Rahe Hai?

A) Ke Un Logo Ne Allah Se Ahad Le Rakha Hai Ki Wo Log Kisi Rasool Par Jab Tak Iman Nahi Layege, Jab Tak Ke Us Qurbani Ko Aag Na Kha Le.

Q15) Asal Kamyabi Jannat Hai . – Aag Se Bachte Huye Jannat Tak Jaana.

Q16) Himmat Ke Kaamon Me Se Kya Hai?

A) Sabr Aur Taqwa.

Q17) Kinke Liye Jannat Ki Khush Kahbriyaan Sunayi Jaa Rahi Hai?

A) Jinhone Hijrat Ki, Jo Aapne Gharon Se Nikale Gaye, Jo Allah Ki Raah Me Aziyat Diye Gaye, Jinhone Allah Ke Raaste Me Jung Ki Aur Maare Gaye.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 12

Questions & Answers -Juz 4 – Aal Imran 198 – Nisa 23

Q1) Surah Al Imran Ke Aakhir Me Kin Baaton Ki Talqeen Ki Jaa Rahi Hai?

A) Sabr Karne Ki, Bahum Muqable Par Sabr Karne Ki, Bahum Rabta Rakhne Ki Aur Taqwa Ki.

Q2) Surah Al Imran Se Aapney Kya Seekha? 4 Jumle Likhiye.

A) 1) Allah Ke Siwaye Koi Bhi Ibadat Ke Haqdar Nahi Hai Aur Humein Uske Saath Kisi Ko Bhi Shareek Nahi Banana Chahiye Ha Wo Koi Insaan Ho Jaise Isa(As) Ya Koi Takhleeq.

2) Maal Kharch Karna Bohat Zaroori Hai Aur Isme Hamari Hi Aakhirat Ka Fayda Hai.

3) Apne Leader Ki Aur Rasool Ki Itat Karna Farz Hai Warna Nuqsan Duniya Me Aur Aakhirat Me Uthana Padega.

4) Sabr Aur Taqwa Se Jannat Hai.

Q3) Makki Soortein Kaunsi Hoti Hai Madani Kaunsi?

A) Hijrat Se Pehle Jo Soortein Nazil Huye Who Makki Surtein Hai Aur Hijrat Ke Baad Jo Surtein Nazil Huyi Unko Madani Kahte Hai.

Q4) Hazrat Hawwa Adam(AS) Ki Left Phansli Se Banayi Gayi.

Q5) Ayat 1 – Me Ek Nafs Adam(As) Hai.

Q6) Sile Rehmi Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Sila Rehmi Jannat Me Le Jaane Wala Amal Hai. Rasool Allah(ملسو هيلع هللا ىلص) Ne Farmaya – Jo Shaqs Chahta Hai Ki Uske Rizq Me Taraqqi Ho, Umar Lambi Ho To Use Chahiye Ki Woh Sile Rahmi Kare.

Q7) Jo Shaqs Ki Ek Se Zyada Biwiyan Ho Aur Wo Unme Adl Naa Kare To Uska Kya Haal Hoga ?

A) Jo Shaqs Ki Ek Se Zyada Biwiya Ho Aur Wo Unme Adl Na Kare To Wo Qayamat Ke Din Adhe Dhad Se Uthaya Jayega.

Q8) Kya Kisi Ko Diya Hua Tohfaa Waapas Liya Jaa Sakta Hai?

A) Nahi. Kisi Ko Diya Hua Tohfa Wapas Lena Aisa Hai Jaise Ke Ek Kutta Khai Karke Use Wapas Chat Le.

Q9) Ayat 6 – Kya Yateem Ke Maal Ki Hifazat Karne Ki Ujrat Li Jaa Sakti Hai? A) Nahi Li Jaa Sakti. Sirf Is Haal Me Ke Uske Paas Aur Zariya Aur Aamdani Na Ho Aur Wo

Sirf Itna Le Sakta Hai Jitna Haq Hai. Zyada Lena Ghalat Hoga.

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 13

Q10) Ayat 2-6 Yateemo Ke Maal Me Se Kya Sulook Karna Chahiye?

A) Unke Umda Maal Ko Haqeer Se Na Badalna Chahiye, Apne Maal Me Milakar Nahaq Ya Ghalat Niyyat Se Nahi Khana Chahiye. Jab Wo Kam Aqal Ho To Unhe Nahi Dena Chahiye Lekin Unhe Usse Pehanne Aur Khane Dena Chahiye. Aur Jab Wo Baligh Ho Jaye To Unka Maal Unhe Lauta Dena Chahiye.

Q11) Meeras Ki Taqseem Ke Waqt Jo Log Maujood Rehte Hai Unke Saath Kaisa Maamla Karna Chahiye?

A) Unko Bhi Is Taqseem Wale Maal Se Kuch Dena Chahiye Aur Unse Bhali Baat Karna Chahiye.

Q12) Meeraas Me Ladka Aur Ladki Ke Liye Kitne Hisse Hai?

A) 2:1

Q13) Meeraas Ke Hisse Likhiye

1) Ek Hi Ladka 1/2 (Adha )

2) Maa, Baap 1/6

3) Aulaad Na Hone Par Maa, Baap Maa 1/3, Baap 1/3

4) Bhai Behan Ke Liye 1/6

5) Shohar Ki Agar Aulaad Ho To 1/8 Biwi Ko .

6) Shohar Ki Agar Aulaad Naa Ho To 1/4 Biwi Ko.

7) Biwi Ki Agar Aulaad Ho To 1/4 Shauhar Ko

8) Biwi Ki Agar Aulaad Naa Ho To 1/2 Shauhar Ko

Q14) Takseem Se Pehle Kya Kya Karna Hai? Kahan Kahan Maal Ki Adaygi Karna Hai?

A) 1) Kafan Dafan Ke Liye.2) Qarz Ki Adayegi.3) Mahr – Biwi Ka

4) Har Wo Cheez Jo Mayyat Ke Zimme Thi Wo Lautayi Jaye.

5) Kisi Ki Ujrath(Fees).6) Qisas Aur Diyyat.7) Agar Nazar Mang Rakhi Ho.

8) 1/3 Ki Wasiyat. 9) Fidya.

Q15) Behaya Aurton Se Kya Sulook Karna Chahiye?

A) Chaar Musalman Mard, Aaqil, Azad Ko Gawah Banana Hai Aur Agar Gawahi De De To Rajm Kar Dena Chahiye(Baghair Shadi Shuda 100 Kode).

Q16) Ayat 19-20 Agar Shohar, Biwi Ek Doosre Ko Naa Pasand Karte Hai To Unke Liye Kya Hukm Hai

A) Pahle Darje Par Sabr Kyunki Ho Sakta Hai Ki Is Shaqs Ke Liye Allah Ne Usme Koi Bhalai Rakhi Hai Jaise Nek Aulad. Agar Chodne Ka Irada Kare To Jo Bhi Diya Ho To Wo Wapas Nahi Lena Chahiye. (Ladka & Ladki Ki Taraf Se Ek Ek Numaynde- Representative)

Juz 4 – Lan Tana Law Questions and Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 14

Q17) Kin Kin Se Nikah Jayaz Nahi?

A) Baap, Dada, Nana Ki Biwiya Ya Maaye, Betiya, Behane, Phuppiya, Khalaye, Bhateejiya, Bhanjiya, Raada’i Maaye, Radat Se Behnei, Saas, Biwiyon Ki Betiyan, Beto Ki Biwiya(Bahu), Do Behno Ko Ek Saath Nikaah Jayaz Nahi