INSTRUCTIONAL LESSON

14
INSTRUCTIONAL LESSON Nazam jaga jaga Pakistan Class v__________Subject urdu Mrs talatyasmin________Date__________ _

description

Nazam jaga jaga Pakistan Class v__________Subject urdu Mrs talatyasmin________Date ___________. INSTRUCTIONAL LESSON. Topic background. - PowerPoint PPT Presentation

Transcript of INSTRUCTIONAL LESSON

Page 1: INSTRUCTIONAL LESSON

INSTRUCTIONAL LESSON

Nazam jaga jaga Pakistan

Class v__________Subject urdu

Mrs talatyasmin________Date___________

Page 2: INSTRUCTIONAL LESSON

Topic background Is nazam jaga jaga Pakistan kai shayer saqi javed

hein.Is nazam mai shayer na apany watan say muhabat ka izar kia hai aur quam mai agay barhnay ka jazaba paida kia hai.

Saqi javed ki waladat 15 march 1925 ko Nagpur mai hui.un ke walid ka nam syed Irshad Ali tha.

Unay nay B.A tak taleem Nagpur say hasil ki.1949 mai Pakistan hijrat ki .Karachi University say M.A aur B.ED kia aur tadrees kay pashey say munsilik hoy.

Page 3: INSTRUCTIONAL LESSON

Theory Saqi javed na bohat say qumi aur mili

nagmay likhy hai jis ki waja say unay qumi shayer bhi kha jata hai.watan ki muhabat aik afaqi jazba hai jis ka izar dunia ki her zuban maaai milta haijanab saqi javed ka kamal ya hai kia unahu nay iss afaqi jazba ko infaradi rang o ahang ata kia hai.

Page 4: INSTRUCTIONAL LESSON

EFFECT

Saqi javed na iss nazam mai apany hal apnay mazi apny tarikh apnay watan ki mati aur apnay khait khalian ka bary mai bataya hai jis ko parh kar aik naya azam o hosala paida hota hay.

Page 5: INSTRUCTIONAL LESSON

Conclusion

Iss nazam mai shayer bohat pur umeed hai aur wo ya batana chaa rahay hai ka pakistan mai wasail ki kami nahi ha aur yahan mehnat kashoon aur hoonar mandoon ki bhi kami nahy hai inshallah taallah agar hum mehnat karen ga to hamara watan taraqi kary ga aur phalay phooly ga.

Page 6: INSTRUCTIONAL LESSON

HIGHER ODER THINKING

ANALYSING

Iss nazam jaga jaga pakistan ka ikhtamam par students shayer ka baray mai maloomat hasil kar chukay hai ab wo un kai bary mai mazeed maloomat hasil kar ka aik report tayar kar saktay hai.

EVALUATING

Iss nazam ko parh kar students mai watan se mohabat mai azfa ho ga aur wo iss par aik mazmoon likh sakein ga.

CREATING

Nazam ka ikhtatam par students nazam ka mafhoom ko samajh chukay hai iss liay ab wo ba asani iss par khulasa likh saktay hai.

Page 7: INSTRUCTIONAL LESSON

ACTION PLAN

TOPIC: nazam jaga jaga Pakistan

DAMHS PH IV

SUBJECT: urdu

CLASS V

BY MRS TALAT YASMIN

Page 8: INSTRUCTIONAL LESSON

LONG TERM GOAL

Taliba aur talibaat may shayri ka zouk o shook paida karna.

un kay zakhira elfaaz may ezaafa karna

Page 9: INSTRUCTIONAL LESSON

SHORT TERM GOALS

Students may watan say mohabat kay jazbaat ubharna

Watan ki tameer o taraqi kay makasid say aga karna

Page 10: INSTRUCTIONAL LESSON

INSTRUCTIONAL STRATEGY Nazaam ko is tarekay say parhana k students may

pakistan say mohabat ka jazba ubhar kar samnay aye.

Students kay group bnaye jae aur unhay un nazmoo ko dhoond kar lanay ko kaha jae jin may watan say mohabat kay baray may btaya gaya ho.

Pakistan kay mukhtalif elakon ki tasaveer jama karnay ko kaha jae takay unhay watan ki khoobsorti ka andaza ho sakay.

Page 11: INSTRUCTIONAL LESSON

CHALLENGES• Field trip students kay liye organize karanay kay liye principal say permission li jae. •students ko 21 century ka muqabla karnay kay liye net kay zarye maloomat jama karnay kay liye tayar kia jae.

• students kay dil may watan say mohabat aur qurbani ka jazba paida kia jae.

SOLUTION• principal ko field trip kay favaid bata kar convince kia jae.

• waldain ko net taleemy zaroorat aur favaid say aga kia jae takay woo students ko net kay istamaal ki ijazaat day.

• field trip aur tarikhy wakiyat aur buzurgon ki qurbani kay baray may btaya jae takay students kay dil may watan say mohobat aur qurbani ka jazba paida ho.

Page 12: INSTRUCTIONAL LESSON

NEWS LETTER CLASS V By MRS Talat yasmin

• Students ko nazam jaga jaga pakistan parhae gae

•Students ko nazam ki bulant khuwani karwae gae.

•Nazam ki khushkhati karwae gae

NOTE: nazam ka Monday ko test liya jae ga

• nazam jaga jaga pakistan ki tashree karwae jae gi.

•Nazam ja jhulasa likhvaya jae ga.

•Nazam ka chart banaya jae ga.

What happened in class this week

What will happen in class next week

Page 13: INSTRUCTIONAL LESSON

MARCH

Nazam ka eyada karaya jae ga aur sawalnama hul karnay ko dia jae ga

JANUARY

Nazam ki tashree karwae jae gi

NOVEMBERNazam aur khulasa likhwaya jae ga

SEPTEMBERNazam jaga jaga pakistan parhae jae gi, buland khuwani karae jae gi.

TIME LINE

Page 14: INSTRUCTIONAL LESSON

RESOURCES

MULTI MEDIA POWER POINT WIKI PEDIA GOOGLE