Firqon se alehdagi zaroori hai

4
1 Cell: 92463 43643 / 93471 39685 JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA] Flat #204, Saleem Masood Complex, Nizam Colony, Toli chowki, Hyderabad – 500 008 (A.P.) Cell: 9246343676 / 7396620946

description

"FIRQON SE 'ALAHIDAGI ZAROORI HAI"

Transcript of Firqon se alehdagi zaroori hai

Page 1: Firqon se alehdagi zaroori hai

1

Cell: 92463 43643 / 93471 39685

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA]

Flat #204, Saleem Masood Complex,

Nizam Colony, Toli chowki,

Hyderabad – 500 008 (A.P.)

Cell: 9246343676 / 7396620946

Page 2: Firqon se alehdagi zaroori hai

2

FIRQOŃ SE ‘ALĀHIDAGĪ ZAROORI HAI

Ikhtelāf aur firqabandi ki sharā’i (lawful) haisiyat ke bare meń

ham Qūr’ān wa hadīs ki roshni meń kaī martaba apne

gūzārishāt pesh kar chūke haiń. Ham ye bhi arz kar chūke

haiń ke tamām firqoń ke firqahwārāna nām ūn ke khūd tajwiz

(suggested) kardah haiń, Qur’ān wa hadīs meń in nāmoń ka

ko’ī sūboot na’hīń miltā.

Hamāri da’wat ko bahot se logoń ne pasand kiya, bahot se

logoń ne ta’ā’von (mutual help) ka bhi yaqīn dilāyā, lakin bāt

yahāń pohńchkar khatm na’hīń ho jāti balke yahāń se to

ibtedā hoti hai. Firqahbandi se qau’lan (verbally) izhār-e-nafrat

(expression of hate) lekin ‘amalan (practically) firqoń se khal’t

mal’t (confused, inter mixed) nā-qā’bil-e-faih’m (unintelligible)

hai ! Kisi chīz se nafrat karnā phir ūs se vā-bas’tagi

(connection) qā‘im (firm) rakhnā hai’rat-angaiz (astonishing)

hai. Use imān ki kamzori bhi kahā jā saktāhai aur qau’l

(word) wa fe’l (action) ka tazād (contradiction) bhi.

Lūgh’vi (literal) itebār se firqah āp jise chāhe keh leiń, lakin

istelā’hi (technical) lehāz se firqah voh hai jis ne asal rāste se

ifterāq (parting) kiya, apne mazhab ke liye ‘alā’hidah ūsoo’l-o-

fūroo’ (creed and law of faith) banāye. Apni kitābeiń ‘alā’hidah

(separate) banāliye, apnā firqa-wārāna nām bhi ‘alā’hidah rakh

liyā. Kisi shakhs-e-makhsoos (special person) ko khūd apnā

imām banā kar us ko mūntahāyi (extreme) nazar samajh liya.

Qūroon-e-oola (the earlier ages of Islām) meń is chīz ko sar-

chash’mah (fountain head) hidāyat samjhāgayā tha ūs se qata’

nafrat kar ke apne imām yā kisi ‘ālim ke aqvāl (sayings) wa

af’āl (actions) ko sar-chash’mah hidayat samajh liya ye to jo

kūch hūwā, hūwā, sawāl ye hai ke jin logoń ne firqoń ke

Page 3: Firqon se alehdagi zaroori hai

3

vūjood (existence) ko būrā samjhā, iftirāq (separation) wa

ikhtilāf (difference) ko la’nat (curse) samjhā ūnhoń ne kaun’sā

kār’-nāmah (life work) anjām, yā kisi chīz ko būrā samjhnā

aur ‘amalan (practically) usi chīz ko ikhtiyār karna ye kaun’sī

khoobi hai jis par nāz kiyā jāye ! Balke ye to fareb-e-nafs

hai. Agar ye log vāqa’i firqoń ko būrā samjhte haiń to phir

ūn ke sāth dīni ravābit (relations) kyooń qāyam haiń. In

ke pīche namāz kyooń adā ki jārahi hai, in ki namāz-e-

janāzah kyooń padhi jā rahi hai. Kyā in ka ye tarz-e-‘amal

(course of action) is bāt ko zāhar na’hīń karta ke in firqoń se

ūnki nafrat sirf zabān ki hadtak hai. Kyooń ke a’māl qalb

ki ‘akka’si (portray) karti hai. Lihāza ye kyooń na samjh liya

jāye ki dil meń firqabandi se haqīqi nafrat na’hīń, balke gūmrah

firqoń se dīni rawābat is bāt ka khūlā sūboot haiń ke in ko

gūmrah na’hīń samjhā jārahā, ūn ke pīche namāz adā kijā

rahi hai, to kya ye samajh kar adā na’hīń ki jā rahi ke namāz

hojāyegi. Kyā is tarz-e-amal (course of action) ne ye sābit

na’hīń kar diyā ke firqabandi ko būrā samjhne vāloń ke

nazdīk bhi ye tamām firqe haq par hain? Agar firqabandi se

nafrat karne valoń ka ‘amal in ke firqoń ke haq par hone ki

shahādat (testimony) dey raha hai to mahaz zabān se ūn ko

gūmrah kehne se kya fāidah hoga! Ye log khūd bhi dhoke

meń raheińge aur doosroń ki bhi gūmrāhi ka sabab baneińge.

Allah ta’ā’lā farmātā haiń:-

Be shak jin logoń ne dīn meń

ifterāq (separation) kiya aur firqe

firqe ban gaye (ai Rasool (saw))

āp ko in se ko’ī sarokār na’hīń.

(anām:159)

Innallazina farraqu deenahum

wa kaanuu shiya’an\lasta

minhum fi shai’inn (anām:159)

Page 4: Firqon se alehdagi zaroori hai

4

Sońchiye kya jo hūkm Rasoolullah (saw) ko diyājā rahā hai ye

log ūs ke muta’baqat (alike) na’hīń? Kyā in firqoń se dīni

rawābat rakh kar is āyat ke hūkm ki khilāf varzi na’hīń ki

jārahi hai?

Rasoolullah (saw) ne is hūkm-e-ilahi ki khūd bhi ta’mīl ki aur

Ūm’mat ko bhi ūs hūkm ki ta’mīl ka hūkm diyā. Āp (saw) ne

to “talzamu jamaat-ul-muslimeen” (tūm ko Jamaat-ul-muslimeen

se vābista rahnā hoga (sahih bukhāri wa sahih mūslim) ka hūkm

de kar Ahl-e-haq ko tamām firqoń se ‘alāhidah kar diyā thā,

balke yahi na’hīń iztirāri (uncontrolled) kaifiat meń bhi jabke

harām chīz bhi halāl ho jāti hai Āp (saw) ne in firqoń meń

shāmil hone ki ijāzat na’hīń di. Āp (saw) ne sāf sāf farmādiyā

(agar Jamaat-ul-muslimeen na ho tab bhi)

In tamām firqoń se ‘ilāhidah

ho jāna

Fa’tazil tilkalfiraqa kullaha

(sahih muslim wa sahīh

bukhaari)

In ahkām ki maujoodgi meń agar haq parast logoń ne in firqoń se ‘alā’hidagi ikhtiyār na’hīń ki to kyā ūnhoń ne Allah aur Rasool (saw) ke hūkm ko mānā? Har gis na’hīń.

Mūńda’raja-e-bā’lā vazā’hat (clarification) ke bād ham apne

mūt’tafiqīn hazrat se arz karte haiń ke kisi gūmrāh shakhs ke

pīche salāt adā kar ke āp un ko eak būland dīni maqām de

rahe haiń. Kyā is kā nām ‘alā’hidagi hai? Na’hīń aur hargis

na’hīń. To phir āp se gūzārish hai ke haqīqi ‘alā’hidagi ikhtiyār

kar ke apne īmān aur namāz ki hifāzat kijiye.