Anxiety Urdu Mein

5
ANXIETY ya Bechaini kya hoti hai? Yeh aapke liye maslay kabh ban sakti hai? Jabh apke saath koi khatarnaak ya jaan leva waqaya paish aata hai toh aapka jism apne aap tyaar hojaata hai, humare dil ki dhadhkan taiz hojaati hai. Hum kaampna shuru kardete hain pareshan hojaatay hain. Aur maaino mein hum khauf zaada hojaata hain. Yeh sabh cheezein humein tyar karti hain ke ya toh hum iss mushkil ka saamna karein ya phir apni jaan bacha kar bhaag jayein. Yeh na hi sirf ek kudrati harkat hi nai saath saath humari madad bhi karta hai.Jese k hum ek taiz gaari ko apni tarf aatay dekhte hain toh saath hi bhaagna shuru kardeta hain kyun ke humein darr hota hai k gari humare andar na lag jaye. Iss tarhan se yeh khauf humari zindagi bacha leta hai. Dusri taraf jabh hum kissi cheez k baaray mein pareshan hotay hain ko woh humare mustaqbil mein ho sakti hai isko hum bechaini kehte hain yeh bhi humari madad karsakti hai jese k jabh ek taliba apne exams k baaray mein pareshan hoti hai toh woh uske liye zaada mehnat se aur dil laga k parhti hai. Lekin agar aap billa wajah be-hadd pareshan hain aur yeh aapki roz marra zindagi pe asar karri hain toh aapko ..anxiety disorder?.. hai. Jese k aap kiss cheez ko le k billa wajah behadd pa reshn hojayein. Har waqt thakkay we rahein. Dhiyan laga kar apne kaam na kar sakein. Choti choti cheezon se tang aatay rahein ya phir aapko kamar sar ya pait mein dard ho. Sona na mumkin hojaye ya phir aap raton ko neend se jaagna shuru kardein toh iska matlab hai aapke bechaini aam tor se bohat zaada hai. Agar aap dekhna chahtay hain k apko anxiety aam tor se zaada hai toh neeche diye wai sawalon k jawaab dein. Iss baat ka khyal rakhein k agar aapki in mein se koi teen cheezein hoti hain : Behad bechaini. Khauf. Ya phir baar baar lagna k kuch burra honay waala hai. Aur iske saath saath aapko neeche di wi list mein se chaar cheezein bi hoti hain: Saans lenay mein mushkilahat. Dil ki dhadhkan taiz hona Dil matli hona Pait kharab rehna Seenay ki dard Chakkar. Paseena. Sarr bhaari hona Kaampna Aise lagna jaisay yeh duniya asli nahi hai. Jism k tajjarbay se baahir hona Pagal honay ka darr Maut ka darr. Apne aap pe kaabo na hona.

Transcript of Anxiety Urdu Mein

Page 1: Anxiety Urdu Mein

ANXIETY ya Bechaini kya hoti hai? Yeh aapke liye maslay kabh ban sakti hai?Jabh apke saath koi khatarnaak ya jaan leva waqaya paish aata hai toh aapka jism apne aap tyaarhojaata hai, humare dil ki dhadhkan taiz hojaati hai. Hum kaampna shuru kardete hain pareshan hojaatay hain. Aur maaino mein hum khauf zaada hojaata hain. Yeh sabh cheezein humein tyar karti hain ke ya toh hum iss mushkil ka saamna karein ya phir apni jaan bacha kar bhaag jayein. Yeh na hi sirf ek kudrati harkat hi nai saath saath humari madad bhi karta hai.Jese k hum ek taiz gaari ko apni tarf aatay dekhte hain toh saath hi bhaagna shuru kardeta hain kyun ke humein darr hota hai k gari humare andar na lag jaye. Iss tarhan se yeh khauf humari zindagi bacha leta hai. Dusri taraf jabh hum kissi cheez k baaray mein pareshan hotay hain ko woh humare mustaqbil mein ho sakti hai isko hum bechaini kehte hain yeh bhi humari madad karsakti hai jese k jabh ek taliba apne exams k baaray mein pareshan hoti hai toh woh uske liye zaada mehnat se aur dil laga k parhti hai. Lekin agar aap billa wajah be-hadd pareshan hain aur yeh aapki roz marra zindagi pe asar karri hain toh aapko ..anxiety disorder?.. hai. Jese k aap kiss cheez ko le k billa wajah behadd pa reshn hojayein. Har waqt thakkay we rahein. Dhiyan laga kar apne kaam na karsakein. Choti choti cheezon se tang aatay rahein ya phir aapko kamar sar ya pait mein dard ho. Sona na mumkin hojaye ya phir aap raton ko neend se jaagna shuru kardein toh iska matlab hai aapke bechaini aam tor se bohat zaada hai. Agar aap dekhna chahtay hain k apko anxiety aam tor se zaada hai toh neeche diye wai sawalon k jawaab dein.Iss baat ka khyal rakhein k agar aapki in mein se koi teen cheezein hoti hain :Behad bechaini.Khauf.Ya phir baar baar lagna k kuch burra honay waala hai. Aur iske saath saath aapko neeche di wi list mein se chaar cheezein bi hoti hain:Saans lenay mein mushkilahat.Dil ki dhadhkan taiz honaDil matli hona Pait kharab rehna Seenay ki dardChakkar.Paseena.Sarr bhaari honaKaampnaAise lagna jaisay yeh duniya asli nahi hai. Jism k tajjarbay se baahir honaPagal honay ka darrMaut ka darr.Apne aap pe kaabo na hona.

Page 2: Anxiety Urdu Mein

Iska matlab hai k aapko ghabrahat ka hamla hua tha. In hamlon k asaar ek dum se shuru hotay hain aur bohat jaldi das minute k andar andar apni poori shiddat pe pohanch jaatay hain. Ek do daffa in hamlon ka saamna karna aam baat hai lekin agar yeh:

• hamlay baar baar baghair kissi wajah se hotay hain• aapko ek maheenay se ziada time hogaya hai dartay aur pareshan hotay huay k aapko

phir se ghabraahat ka hamla honay waala hai ya phir uski wajah se kya hosakta hai aur ya phir aapne apni rozana harkatein badal di hain ( jese k aap baahir jaana band kardete hain iss darr se k aapko yeh hamla logon k saamnay na ajaye)

Ghabrahat ke k asaar jism k tyar hojaanay ki wajah se hotay hain jo humein tyar kare hotay hain larne ya bhaagnay k liye. Jaise ke humne upar bataya hai. Lekin panic disorder mein aapko yeh asaar billa kissi wajah ke nazar aatay hain, aise insaan k liye jisko nahi pata k usko ghabrahat ka hamla hora hai aur woh bohat zaada darr jaatay hain aur unko lagta hai k unko dil ka dorra ara hai.Khush khabri ki baat yeh hai k ghabraahat aur bechaini k hamlon ka ilaaj hai. Aur ziada maloomat ke liye yahan click kareinGhabraahat aur bechaini ki wajoohat?Jinyaati aur hayati awaamil ki wajah se bechaini k dauray hosakte hain lekin iske ilawa ek insaank ird gird ki mahawliat uske sochnay k tareeeka aur uski shaksiyat sabh maeenay rakhti hain. Jese ke woh log jo billa wajah har waqt bechain rehte hain, pareshan rehte hain unko yeh daura zaada hotay hain. Yeh bhi kaha jaata hai k jo chotay bachay apne naye khilonay se ya naye logon se tang ho aur unko dekh ke royein woh apne bachpan mein bechaini k dauray ka saamna Mahawl ki lihaaz se bechaini k dauray un logon mein zaada hotay hain jinho ne zindagi mein koibehadd dabao ya pareshaani waalay waqye ka saamna kia ho.

Agar aap gharailu tashadad ka shikaar hain toh iske aapke upar bohat ghalat asraat hosakte hain. Gharailul tashdad k shikaar na hi sirf damaghi aur jasmani tashadad ka saamna karte hain balkayunko saath saath yeh dar bi rehta hai k unke saath phir se yehi waqayat paish ayeinge. Har waqt issi pareshaani mein rehna k aapke saath phir se tashadad ka waqya paish aa sakta hai aur zaada dhyaan se rehne k aap aisa kuch na kare jiske wajah se aisa kuch ho sake aapko bechaini k dauron ka shikar banna deta hai. Ek study k mutaabiq jo karachi pakistan mein ki gayi thi aisi khaaton jo ghairailu tashadad k shikar thi unme se 72 % pareshan ya phir damaghi dabao mein thi.

Iske ilawa aapka yeh sochna k aapka apne halaat k upar koi control nai hai bhi bechaini k dauronki wajah ban sakti hain. Tashadad wale taaluqat ka matlab hi tashadad karne wale ka apne shikark upar control hona, jiski wajah se apko lagta hai k apki zindagi apke control mein nai hain jiski wajah se aap pareshan aur tension mein reh sakte hain, kissi ko haqq nai hai apki zindagi pe control honay ka aur aapko batanay ka k aap apni zindagi kesi jiyein, umeed kayyem rakhein k bohat se aise tareeke hain jo aapki aise halaat mein madad kar sakte hain. Iske baaray mein aur jaanay k liye idher click karein. (enter relative link on ‘how to get out’, ‘I want to stay’ etc.) Woh log jo behadd bechaini ka shikar hain jo aisi cheezon pe zaada dhiyaan detay hain jo unke damaghon pe zaada kasheedgi se paish aatay hain. Aur woh haalat ko ek ghalat nazariye se dekhte hain. Isliye aisa insaan jinko aise hamlay paish aatay hain unko inke asaar bhi jaldi samjhaajatay hain aur woh inpe zaada ghaur bhi kar sakte hain (jese k dil ki dhadkhan taiz hona ya sahi

Page 3: Anxiety Urdu Mein

tareeke se saans na aana) aur samjhatay hain k unko dil ka daura aara hai. Yeh ghalat fehmi unki aur bhi zaada pareshaan kardeti hai. Kuch log aise bi hotay hain jo apni roz mara ki harkatein jinse unki dil ki dhadhkan taiz hoti hain unko chor dete hain, kyun ke jese hi unke dil ki dhadhkan taiz lagti hai woh darr jaatay hain aur unho lagta hai unhe dil ka daura aara hai. Inn sabh cheezon se unko lagta hai k unko dil ka marz sirf isliye nahi hua kyun k unhe ne apni roz marra ke thakka dene waalay amal chor diye hain. Iss tarhan se ek darr khauf pareshaani aur parhaiz ka cycle shuru hojaata hai.Yeh tajwiz bhi ki jaati hai k aise insaan bhi hotay hain bechaini ka shikar hotay hain kyun k yeh unki tawajjo aur zaada manfi ehsaas se hatati hai.Agar aisa hi hai toh yeh humein mazeed tashreeh deta hai k aisi aurtein jo ghairulu tashadad ka shikar hain unme bechaini ke dauray bohat zaada mumkin hotay hain. Yeh isliye bhi hosakta hai kyun shaded fikar kamm nuqsaan de hoti hai unki ghairulu tashaded ki haqeeqat se.

Ghabrahat ke baray mein ghalat fehmian“Doh aadmi apne qaed khaanay se baahir jhaank rahay thay..ek ko dhul mitti nazarr ayi dusre ko sitare” Fredrick langbridge.Jese humne upar kaha hai woh aadmi jo aapni biwion ko maartay hain woh chaahtay hai k unko apne shikaar pe poora control haasil ho. Apne k liye yeh jaana zaroori hai k agar aapko lagta hai k apka apni hi zindagi k upar koi control nahi hai toh isse bachne ke kaafi tareeke majood hain, mazeed jaankari ke liye idher click kare (mein chor k jaana chahti hun) agar aap apne tallukat torke nahi ja sakti toh phir bhi aapke paas aise haalat k saath deal karne ke kaafi tareeke hain mazeed jankari k liye idher click karein (mein rehna chaahti hun). jo aapke saath hora hai uske baaray mein kuch nai karsakte lekin aap apne aap ko aise halat mein kese rakhte hain yeh aapke control mein hain. sabh se pehle apkp yeh ghalat fehmi dur karne k liye k aapko kya asraat aapko mehsoon horay hain yeh pehchaana zaorri hai ke apko asal mein kaunse asraat nazar aray hain. Yeh isliye karte hain taakay upar bataya wa cycle tora ja sake -> yeh sochna k aapke asraat kuch bauhat khattarnaak hai jese k dil ka daura jabh ke aisa kuch nai hai -> aap aur zaada pareshan hojaatay hain -> thakka daine waali cheezein chor dete hain -> and yeh sochtay hai k apko dil ka daura sirf isliye nai aya kyun k aapne aisi koi bhi cheez jo aapko zaada thaka sakti thi ki hi nai. Aapko yeh sochna chahiye k jo asraat apko mehsoos horay hain yeh aapke jism ka apko batanay k tareeka hai k woh tyar hora hai aur kuch dair baad aap bilkul sahi hojayeinge. na ke aap darr jayenge k aapko kuch bohat khatar naak honay waala hai. Aapko yeh sochna bhi chorna parega ke aap apne aap ke saath kuch burra karanay se sirf isliye bach gaye kyun k apne kaafi aisi cheezein chor di jo aapko behadd thakka sakti thi. Isliye aapko chahiye k woh sabh cheezein jisne aap dur bhaag rahay thay aur karna chor di thi woh waapis karna shuru kardein. Jese ke agar aapne dil ki dhadhkan taiz honay ki wajah se warzish chor di thi toh uske foran waapis karna shuru kardein, warzish apke liye nuksaan de nai balkay faiday mand saabit hosakti hai. Yeh aapki pareshanian bechaini aur damaghi dabao ko kamm karti hai. Agar aapko lagta hai k aap bechaain hona nahi chor sakte kyun ke aap uss insaan se bach k rehneki koshish kare hain jo aapke saath ghalat salook aur ghairulu tashadad kar raha hai toh aapke liye yeh samjhna zaroori hai ke badkismati se woh kissi wajah k bghair bhi apni marzi se aapke saath ghalat salook hi karega. Apke liye yeh samjhna bohat zaroori hai k apka mian aapko aapki ghaltion ki wajah se nahi maarta. Ghalat woh khud hai aap nahi. Woh aapko control karna chaahta hai. Isliye har waqt bechain reh ke aur zaada dhyaan rakh ke aap kuch ghalat na karein aap apni zindagi sirf aur bohat zaada mushkil bana rahay hain. Aapko apne aap ko kasoormand

Page 4: Anxiety Urdu Mein

therhaanay ki bajaye apne liye madad dhudnhti chahiye aur apni zindagi ko behtar banana ki koshish karein. Agar aapko lagata hai aapko behadd bechaini hoti hai toh neeche diye we sawaalon k jawaabDein aur dekhein.

Neechay bechaini k asraat batayegein hain jo apko mehsoon hosakte hain. Inko ghaur se parhein aur jawaab dein k inme se kya kya aapko hota hai.

Bilkul bhi nahi.

Thora sa lekin mujhe zaada tang nai karte

MODERATELY- IT WASN’T PLEasant.

Bohat zaada mujhe behadd tangi paish ayi.

Sunn hojaana. 0 1 2 3Garmi lagna 0 1 2 3 Taangein kaampna 0 1 2 3 Sakoon se na reh sakna 0 1 2 3 Darr k kuch bohat burra honay waala hai.

0 1 2 3

Chakkar aana. 0 1 2 3 Dil ki dhadhkan mehsoon karpanaa.

0 1 2 3

UNSTEADY 0 1 2 3 Darna. Khauf zaada hona.

0 1 2 3

NERVOUS 0 1 2 3 FEELING OF CHOKING

0 1 2 3

Haath kaampna 0 1 2 3 Kaampna. 0 1 2 3 Control kho denay k darr 0 1 2 3 Saans na le paana 0 1 2 3 Maut ka darr 0 1 2 3 SCARED 0 1 2 3 badhazmi 0 1 2 3 behoshi 0 1 2 3 Muh laal hojaana. 0 1 2 3 Bohat zaada garmi ya sardi lagna.

0 1 2 3

COLUMN SUM

Agar aapka total score 0-23 tak hai toh aapko bohat kamm bechaini hai. Yeh ek achi baat hai lekin yeh bhi hosakta hai ke aapne sahi se jawaab nai diye ya phir aapne bechaini ke asraat ko chupaana seekh liya hai . itni kamm bechaini ka matlab yeh hosakta hai k aap apne aap aur apne ird ke logon aur mahol se damaghi tor pe alaida hain.

Page 5: Anxiety Urdu Mein

Agar aapka score 22-35 k darmeyana hai toh iska matlab hai aapko motadil bechaini hai. Aapka jism aapko kuch batanay ki koshish kar raha hai. Aisi cheezon pe ghaur karni ki koshish karo jo aapko bechaini ka shikar bana ri hai. Jese ke agar yeh aapko logon ke saamnay takreer denay mein bechaini mehsoos hoti hai aur apke kaam mein presentations dena zaada hai toh aap apne aap ko sakoon denay k liye kuch dhundhein. Motadil bechaini zaada pareshani ki baat nahi hai lekin aapko apne asraat ko control mein laana seekh lena chahiye.Agar aapka score 36 se zada hai toh yeh fikar ki baat hai. Ghaur kare k aapko bechaini k asraat kiss waqt zaada aur kin cheezon ki wajah se aatay hain. Qaim aur behadd bechaini ka matlab hargiz yeh nahi hai ke aap kamzor hain. Lekin aapko madad ki zaroorat hai taakay bechaini ka asaar aap k jism aur damagh ke behadd na ho. Aap counsellor se bhi raabta karsakte hain agar yeh bechaini qaim rahay toh.